Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics

Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics

 

 

Jab Aaye Jahan Mein Muhammad, Rehmat Ki Badariya Chayi,
Butt Keh Kay Giray Munn Kay Bal, Aaqa Ki Sawari Aayi!

Tera Noor Hai Noor E Illahi, Kabzay Mein Khuda Ki Khudayi,
Nahin Itni Kalam Mein Taqat, Likhay Meray Nabi Ki Barai.
Yeh Hain Dono Jahan Kay Sarwar, Boli Halima Dayi.

Jab Aaye Jahan Mein Muhammad…

Zulmat Ke Chatay Hain Badal, Rehmat Ki Huyi Hai Hal Chal,
Jab Aaye Kamaliya Wale, Rehmat Huye Hain Ujalay,
Aaqa Nay Mitayi Jahan Say, Abu Jahal Ki Burayi.

Jab Aaye Jahan Main Muhammad…

Qadmoon Main Hai Unkay Janat, Yeh Hai Meray Nabi Ki Azmat,
Yeh Baat Hai Bando Haqeeqat, Aadam Ki Huyi Hai Shafa’at,
Jab Aaya Khiyal E Muhammad, Aadam Nay Di Hai Duhai.

Jab Aaye Jahan Mein Muhammad…

Batlao Gay Jo Sach Mujhko, Manoon Ga Nabi Jab Tumko,
Muthi Main Batao Kiya Hai, Yeh Pucha Shah E Umam Ko,
Kankar Nay Parha Jab Kalma, Abu Jahel Ne Moun Ki Khayi.

Jab Aaye Jahan Main Muhammad…

Abu Bakr O Umar Aur Farooq, Usman O Ghani Aur Haider,
Chamkaya Inka Muqadar, Hai Haath Nabi Ka Sar Par,
Sarkar Nay Dono Jahan Mein, Azmat Charoon Ki Barhai.

Jab Aaye Jahan Mein Muhammad…

Hai Saath Nabi Kay Rehmat, Allah Ko Hai Unsay Chahat,
Nabiyoon Ki Karein Woh Imamat, Hai Pusht Pay Mohray Nabuwa’at,
Mehboob Hain Yeh To Khuda Kay, Quran Nay Di Hai Gawahi.

Jab Aaye Jahan Mein Muhammad…

Bin Dekhay RasoolAllah Ko, Na Ishq Ka Daman Choray,
Aik Dant Nabi Ka Toota, Sab Dant Owais Nay Toray,
Aie [Qatil] Na Hum Nay Dekha, Aisa Koi Shedai.

Ya Habibi, Ya Muhammad, Ya Habibi, Ya Muhammad…

 

 

جب آئے جہاں میں محمد، رحمت کی بدریا چھائی

 

جب آئے جہاں میں محمد، رحمت کی بدریا چھائی
بٹ کہ کے گرے من کے بل، آقا کی سواری آئی

تیرا نور ہے نور الہی، قبضے میں خدا کی خدائی
نہیں اتنی کلام میں طاقت، لکھے میرے نبی کی بڑائی
یہ ہیں دونوں جہاں کے سرور، بولی حلیمہ دائی

جب آئے جہاں میں محمد…

ظلمت کے چھاؤں ہیں بادل، رحمت کی ہوئی ہے ہل چل
جب آئے کمالیہ والے، رحمت ہوئی ہیں اجالے
آقا نے مٹائی جہاں سے، ابو جہل کی برائی

جب آئے جہاں میں محمد…

قدموں میں ہے انکے جنت، یہ ہے میرے نبی کی عظمت
یہ بات ہے بندو حقیقت، آدم کی ہوئی ہے شفاعت
جب آیا خیالِ محمد، آدم نے دی ہے دعائی

جب آئے جہاں میں محمد…

بتلاؤ گے جو سچ مجھ کو، منوں گا نبی جب تم کو
مٹھی میں بتاؤ کیا ہے، یہ پوچھا شاہِ امم کو
کنکر نے پڑھا جب کلمہ، ابو جہل نے منہ کی کھائی

جب آئے جہاں میں محمد…

ابو بکر و عمر اور فاروق، عثمان و غنی و حیدر
چمکایا انکا مقدر، ہے ہاتھ نبی کا سر پر
سرکار نے دونوں جہاں میں، عظمت چاروں کی بڑھائی

جب آئے جہاں میں محمد…

ہے ساتھ نبی کے رحمت، اللہ کو ہے ان سے چاہت
نبیوں کی کریں وہ امامت، ہے پشت پہ مہرے نبوت
محبوب ہیں یہ تو خدا کے، قرآن نے دی ہے گواہی

جب آئے جہاں میں محمد…

بن دیکھے رسول اللہ کو، نہ عشق کا دامن چھوڑے
ایک دانت نبی کا ٹوٹا، سب دانت اویس نے توڑے
آئے [قاتل] نہ ہم نے دیکھا، ایسا کوئی شیدائی

یا حبیبی، یا محمد، یا حبیبی، یا محمد…

 

 

 

Leave a Comment