Hazrat Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Biography

 

Hazrat Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi rahmatullāhi alaihi :
—————-

 

 

 

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Hakeem-ul-Ummat, Mufassir-e-Shaheer.

****************
Aap ki wilaadat Shawwaal 1325 Hijri (1904 A.D.) me Ojhaani (Zila Badayun) hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Muhammad Yaar Khan hai.

Aap ke waalid Ojhaani ki Jaame Masjid me Imaam the. Masjid ke akhraajaat ki zimmedaari bhi khud uthaate the. Woh Faarsi zabaan ke maahir the. Aur ek Maktab khol rakha tha jis me bacho ko ta’leeme deen dete the. Bahot Muttaqi, Parhezgaar aur Deendaar the. Log un ki bahot ta’azeem karte the. Jaeef ho jaane ke ba-wajood ba-jama’at namaaz ada karne ke liye tashreef le jaate.
Jab masjid me paani ke intazaam ke liye kunva ta’ameer karvaane ke liye raqam ki zaroorat thi to Aap ki waalida ne apne zewraat apne shohar ko de diye. Mohalle aur basti ki aurto aur bachcho ko Qur’ane paak padhaati thi.

Aap ke waalid ke 5 ladkiya thi. Paanchwi bachchi ke baad Aap ke waalide Maajid ne baargaahe Khudawandi me arz ki ke “Agar ladka hua to use ALLĀH o Rasool ki raza ki khaatir Khidmate deen ke liye waqf kar dunga.” ALLĀH ta’ala ke fazl se un ke yaha honhaar bachche ki wilaadat hui.

****************
Aap ne apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Phir 1334 Hijri (1916 A.D.) me 10 saal ki umr me Aap Madrasa Shms-ul-Uloom me daakhil hue aur Maulana Qadeer Bakhsh Badayuni se ta’aleem haasil ki. Aap ne Fiq’h, Kalaam aur deegar uloom ki ta’aleem haasil ki.
Phir 1337 Hijri (1919 A.D.) me Muradabad tashreef le gaye aur Jaamia Naeemiyan aur Hazrat Sadr-ul-Afaazil Maulana Sayyed Naeem-ud-deen Muradabadi se ta’aleem haasil ki. Phir Sadr-ul-Afaazil ne Aap ki ta’aleem ki zimmedaari Allama Maulana Ahmad Hasan Kanpuri ko di. Ek saal baad Maulana Ahmad Hasan Kanpuri ke saath Meerat tashreef le gaye.
1344 Hijri (1925 A.D.) me Aap ne Dars-e-Nizaami ki ta’aleem mukammal ki.

****************
Dastaare Fazeelat ke baad Aap Jaamia Naeemiya me mudarris bane. Kuchh waqt baad ifta ki khidmat bhi Aap ko supurd kar di gai.

Taqreeban 1 saal baad Dhoraji (Gujarat) tashreef le gaye aur Daar-ul-Uloom Miskeeniya me 9 saal tak Tadrees, Khitaabat aur Fatawa ki zimmedaari ada ki.
Phir Jaamia Naeemiya me waapas tashreef laaye aur Tadrees karte rahe.
1 saal baad Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan rahmatullāhi alaihi ne Madrasa Ashrafiya ke liye talab kiya to Sadr-ul-Afaazil ne Aap ko Kichhauchha bheja. Aap ne 3 saal tak waha Khidmaat anjaam di.
Phir Allama Abul Barkaat Bhikki rahmatullāhi alaihi ki vasaatat se Sadr-ul-Afaazil ne Aap ko Bhikki (Zila Gujrat, Pakistan) bheja. Lekin yaha koi dil bastagi na ho saki ,is liye Lahore pahunch kar watan waapas jaane ka iraada kiya. Magar Syyed Mahmood Shaah Aap ko Daar-ul-Uloom Anjumane Khuddaame Sufiya (Gujrat, Pakistan) le gaye. Yaha Aap 12 saal tak tadrees aur tasannif karte rahe. Phir 10 saal tak ANjumane Khudaame Rassol me Tadrees karte rahe.
Phir Aap ne Madrasa e Ghauṡiya Naeemiya ki ta’ameer ki aur aakhri ayyaam tak tadrees aur khidmate deen karte rahe.

****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Tafseer-e-Naeemi,
(2) Noor-ul-Irfaan fee Haashiya e Qur’an,
(3) Israar-ul-Ahkaam Ba Anwaar-ul-Qu’ran
(4) Jaa al Haq (2 Jild),
(5) Risaala e Noor,
(6) Shaan-e-Habeeb-ur-Rahmān,
(7) Naeem-ul-Bari Fee Inshirah al-Bukhari,
(8) Miraat Sharah Mishkaat (8 Jild),
(9) Saltanat-e-Mustafa (sallallāhu alaihi wasallam) Dar Mamlikat e Kibriya,
(10) Rahmat-e-Khuda ba Waseela e Auliya Allāh,
(11) Ilm-ul-Qur’an
(12) Aik Islaam,
(13) Islaam ki Chaar Usooli Istilaahen,
(14) Islaami Zindagi,
(15) Haqeeqat-e-Nasab,
(16) Ilm-ul-Miraaṡ,
(17) Mawaa’az Naeemiya
(18) Deewane Saalik,
(19) Ameer Muavia radiy-Allāhu anhu par ek nazar.

*****************
Aap hamesha saadgi pasand farmaate.
Aap me Sabr o Istiqlaal, Tawaazo wa Inkesaari aur Tahammul wa Burdbaari jaise awsaaf maujood the.
Aap ne puri zindagi na kisi se qarz liya na kisi ko diya. Agar koi maange to uski zaroorat bataure hadiya puri karte aur kabhi raqam waapas na lete.

****************
Aap ke 2 saahabzaade hain :
(1) Maulana Mufti Mukhtaar Ahmad,
(2) Maulana Mufti Iqtidaar Ahamad.

****************
Aap Hazrat Sadr-ul-Afaazil Maulana Sayyed Naeem-ud-deen Qaadri Muradabadi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

****************
Aap ka wisaal 3 Ramazaan 1391 Hijri (24 October 1971 A.D.) ko hua.

Aap ki namaaze janaaza Hazrat Maulana Mufti Abul Barkaat Sayyed Ahmad Qaadri ne padhai.

Aap ka mazaar Gujrat (Punjab, Pakistan) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: