Ishq E Elahi Aur Sufiana Rung Mein Dooba Yeh Purnoor Kalam Dilon Ko Khuda Ki Mohabbat Aur Tadap Se Labrez Karta Hai. Is Kalam Mein Banday Ki Parwardigar Se Be-Panaah Mohabbat Aur Raza E Elahi Ka Nihayat Khubsoorat Bayan Hai. Teeno Zabanon Mein Yeh Kalam Niche Mulahiza Farmaen.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ho Gayi Unse Mohabbat Ho Gayi |
| Poet / Writer | Unknown |
| Category | Sufiana Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Ho Gayi Unse Mohabbat Ho Gayi Lyrics In Roman
Ho Gayi Unse Mohabbat Ho Gayi
Unki Marzi Meri Qismat Ho Gayi
Chupke Chupke Dil Se Karna Guftgu
Teri Furqat Mein Ye Aadat Ho Gayi
Arzoo Tak Mit Gayi Ummid Kya
Meri Hasti Waqf E Hasrat Ho Gayi
Ghair Ki Jaanib Ye Nazr E Iltifaat
Khair Ho Kyon Humse Nafrat Ho Gai
Haan Unhen Be Zaar Rahna Chahiye
Meri Surat Gham Ki Surat Ho Gai
Jabse Woh Har Zarre Mein Dikhne Lage
Humko Bhi Sajdon Ki Aadat Ho Gai
Aankh Lag Kar Lag Saki Naa Umr Bhar
Aankh Lagna Ik Musibat Ho Gai
Ho Gayi Unse Mohabbat Ho Gayi
Unki Marzi Meri Qismat Ho Gayi
Ho Gayi Unse Mohabbat Ho Gayi Lyrics In Hindi
हो गई उनसे मोहब्बत हो गई
उनकी मर्ज़ी मेरी क़िस्मत हो गई
चुपके चुपके दिल से करना गुफ़्तगू
तेरी फुरक़त में ये आदत हो गई
आरज़ू तक मिट गई उम्मीद क्या
मेरी हस्ती वक़्फ़ ए हसरत हो गई
ग़ैर की जानिब ये नज़र ए इल्तिफ़ात
ख़ैर हो क्यों हमसे नफ़रत हो गई
हां उन्हें बेज़ार रहना चाहिए
मेरी सूरत ग़म की सूरत हो गई
जब से वह हर ज़र्रे में दिखने लगे
हमको भी सजदों की आदत हो गई
आंख लग कर लग सकी ना उम्र भर
आंख लगना इक मुसीबत हो गई
हो गई उनसे मोहब्बत हो गई
उनकी मर्ज़ी मेरी क़िस्मत हो गई
Ho Gayi Unse Mohabbat Ho Gayi Lyrics In Urdu
ہو گئی اُن سے محبت ہو گئی
ان کی مرضی میری قسمت ہو گئی
چپکے چپکے دل سے کرنا گفتگو
تیری فرقت میں یہ عادت ہو گئی
آرزو تک مٹ گئی امید کیا
میری ہستی وقفِ حسرت ہو گئی
غیر کی جانب یہ نظرِ التفات
خیر ہو کیوں ہم سے نفرت ہو گئی
ہاں انہیں بیزار رہنا چاہیے
میری صورت غم کی صورت ہو گئی
جب سے وہ ہر ذرے میں دکھنے لگے
ہم کو بھی سجدوں کی عادت ہو گئی
آنکھ لگ کر لگ سکی نہ عمر بھر
آنکھ لگنا اک مصیبت ہو گئی
ہو گئی ان سے محبت ہو گئی
ان کی مرضی میری قسمت ہو گئی