Yeh khoobsoorat aur dilkash kalaam dilon mein ishq e haqeeqi ki shama roshan karne ka behtareen zariya hai. Is mubarak kalaam ko parh kar rooh ko ajeeb sukoon aur mohabbat ka anmol ahsaas milta hai. Aaiye is muqaddas kalaam ko sachi niyat aur adab ke sath parhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Dard Seh Kar Bhi Tera Naam Liye Jate Hain |
| Poet / Writer | Fana Nizami Kanpuri |
| Category | Kalaam |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Dard Seh Kar Bhi Tera Naam Liye Jate Hain Lyrics In Roman
Dard Seh Kar Bhi Tera Naam Liye Jate Hain
Tere Deewane Tujhe Yaad Kiye Jaate Hain
Tu Nawaaze Na Nawaze Teri Marzi Janaan
Ham To Sajde Teri Chaukhat Pe Kiye Jaate Hain
Shukriya Tera Rafugar Magar Itna To Bata
Kya Mohabbat Mein Girebaan Siye Jaate Hain
Ek Ham Hain Ke Hamein Kuchh Bhi Nahin Paas E Wafa
Ek Woh Hain Ke Karam Ham Pe Kiye Jaate Hain
Ham Parastaar E Mohabbat Hain Hamein Jaam Se Kya
Woh Pilaate Hain Nigaahon Se Piye Jaate Hain
Jane Wale Tere Qadmon Ke Nishan Baaqi Hain
Ham To Sajde Unhi Rahon Pe Kiye Jaate Hain
Aye Fana Ishq Ka Dastoor Tujhe Kya Maaloom
Ishq Mein Dil Hi Nahin Sar Bhi Diye Jaate Hain
Dard Seh Kar Bhi Tera Naam Liye Jate Hain Lyrics In Hindi
दर्द सह कर भी तेरा नाम लिए जाते हैं
तेरे दीवाने तुझे याद किए जाते हैं
तू नवाज़े न नवाज़े तेरी मर्जी जानां
हम तो सजदे तेरी चौखट पे किए जाते हैं
शुक्रिया तेरा रफ़ूगर मगर इतना तो बता
क्या मोहब्बत में गिरेबान सीए जाते हैं
एक हम हैं, के हमें कुछ भी नहीं पास ए वफ़ा
एक वोह है, के करम हम पे किए जाते हैं
हम परस्तार ए मोहब्बत हैं हमें जाम से क्या
वह पिलाते हैं निगाहों से, पीए जाते हैं
जाने वाले तेरे कदमों के निशां बाक़ी हैं
हम तो सजदे उन्हीं राहों पे किए जाते हैं
ऐ फ़ना इश्क़ का दस्तूर तुझे क्या मालूम
इश्क़ में दिल ही नहीं सर भी दिए जाते हैं
Dard Seh Kar Bhi Tera Naam Liye Jate Hain Lyrics In Urdu
درد سہہ کر بھی تیرا نام لیے جاتے ہیں
تیرے دیوانے تجھے یاد کیے جاتے ہیں
تو نوازے نا نوازے تیری مرضی جاناں
ھم تو سجدے تیری چوکھٹ پے کیے جاتے ہیں
شکریا تیرا رفوگر مگر اتنا تو بتا
کیا محبت میں گریبان سیے جاتے ہیں
ایک ہم ہیں کے ہمیں کچھ بھی نہیں پاسِ وفا
ایک وہ ہیں کے کرم ہم پے کیے جاتے ہیں
ہم پرستارِمحبت ہیں ہمیں جام سے کیا
وہ پلاتے ہیں نگاہوں سے پیے جاتے ہیں
جانے والے تیرے قدموں کے نشاں باقی ہیں
ہم تو سجدے اُنہی راہوں پے کیے جاتے ہیں
اے فنا عشق کا دستور تجھے کیا معلوم
عشق میں دل ہی نہیں سر بھی دیے جاتےہیں