Rehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye Lyrics || Barkate Raza

Hazrat Tajdar E Do Alam Ki Shaan E Aqdas Aur Huzoor Mujahid E Millat Ki Muhabbat Me Likha Gaya Yeh Nihayat Hi Khubsurat Aur Mashhoor Kalam Rehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye Sachi Aqeedat Ka Ek Azeem Nazrana Hai. Is Pyare Kalam Ke Zariye Tajdar E Madinah Ki Gulami Ka Nihayat Hi Umdah Zikr Kiya Gaya Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleRehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye
Poet / WriterUnknown
CategoryNaat Sharif / Manqabat Sharif
Naatkhawan / ReciterSajjad Nizami
Book NameBarkate Raza Naat Book

Rehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye Lyrics In Roman

Rehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye
Bhik Maangne Wala Taj Daar Ho Jaye

Aur Wo Kisi Se Dar Jayen Yeto Ho Nahi Sakta
Seerat E Muhammad Se Jisko Pyar Ho Jaye

Ho Nigahe Momin Mein Kam Se Kam Jalal Itna
Khar Phul Ho Jayeen Phul Khar Ho Jaye

Dono Haath Faila Kar Khud Bulayegi Jannat
Jiska Shafi E Mehsar Jimmahdaar Ho Jaye

Gar Ishara Ho Jata Dusri Bhi Ungli Ka
Chand Ek Lamhe Me Do Se Char Ho Jaye

Usko Aatis E Dojakh Bhi Jala Nahi Sakti
Jo Nabi Ki Galion Ka Khak Saar Ho Jaye

Jindagi Sanwar Jaye Aakherat Bhi Banjaye
Jo Mujahid E Millat Pe Nishaar Ho Jaye

Aaqa Ki Gulami Ke Daayere Me Aa Jao
Phir Ye Gair Mumkin Hai Apni Haar Ho Jaye

Rehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye Lyrics In Hindi

रहमत-ए-दो आलम का जान निसार हो जाये
भीक मांगने वाला ताजदार हो जाये

और वो किसी से डर जायें ये तो हो नहीं सकता
सीरत-ए-मुहम्मद से जिसको प्यार हो जाये

हो निगाह-ए-मोमिन में कम से कम जलाल इतना
ख़ार फूल हो जायें फूल ख़ार हो जाये

दोनों हाथ फैला कर खुद बुलायेगी जन्नत
जिसका शफ़ी-ए-महशर ज़िम्मेदार हो जाये

गर इशारा हो जाता दूसरी भी उंगली का
चन्द एक लम्हे में दो से चार हो जाये

उसको आतिश-ए-दोज़ख़ भी जला नहीं सकती
जो नबी की गलियों का ख़ाकसार हो जाये

जिन्दगी संवर जाये आख़िरत भी बन जाये
जो मुजाहिद-ए-मिल्लत पे निसार हो जाये

आक़ा की ग़ुलामी के दायरे में आ जाओ
फिर ये ग़ैर मुमकिन है अपनी हार हो जाये

Rehmat E Do Aalam Ka Jaan Nishaar Ho Jaye Lyrics In Urdu

رحمتِ دو عالم کا جان نثار ہو جائے
بھیک مانگنے والا تاجدار ہو جائے

اور وہ کسی سے ڈر جائیں یہ تو ہو نہیں سکتا
سیرتِ محمد سے جس کو پیار ہو جائے

ہو نگاہِ مومن میں کم سے کم جلال اتنا
خار پھول ہو جائیں پھول خار ہو جائے

دونوں ہاتھ پھیلا کر خود بلائے گی جنت
جس کا شافعِ محشر ذمہ دار ہو جائے

گر اشارہ ہو جاتا دوسری بھی انگلی کا
چند ایک لمحے میں دو سے چار ہو جائے

اس کو آتشِ دوزخ بھی جلا نہیں سکتی
جو نبی کی گلیوں کا خاکسار ہو جائے

زندگی سنور جائے عاقبت بھی بن جائے
جو مجاہدِ ملت پہ نثار ہو جائے

آقا کی غلامی کے دائرے میں آ جاؤ
پھر یہ غیر ممکن ہے اپنی ہار ہو جائے

Leave a Comment