SUNNI MUSALMAN MAI SUNNI MUSALMAN NAAT LYRICS

SUNNI MUSALMAN MAI SUNNI MUSALMAN NAAT LYRICS

 

Sunni Musalman Mai Sunni Musalman
Har Sarwar- E-Konain Pe Kurban Meri Jaan
Sunni Musalman Mai Sunni Musalman

Sarkar E Madina Mere Har Gam Ka Sahara
Mai Ghous Ke Tukdo Hi Pe Karta Hoon Guzara
Jau Kabhi Baghdad Madina Yahi Armaan
Sunni Musalmaan Mai Sunni Musalman

Ye Shaan Meri Hai Ki Gulam-E-Rasool Hoon
Allah Ke Rasool Pe Padta Durood Hoon
Padta Hoon Mai Salam Yahi Hai Meri Pehchan
Sunni Musalmaan Mai Sunni Musalmaan

Haa Chumta Hoon Name Mohammud Pe Angutha
Aur Manta Hoon Taiba Ko Mai Arsh Ka Jina
Hai Ishqe Muhammad Me Salamat Mera Imaan
Sunni Musalman Mai Sunni Musalman

Waliyon Ke Naam Se Main Dilata Hu Fateha
Bachchon Ko Sunata Hu Main Karbal Ka Wakya
Ai Najdi Mujhe Dekhkar Kyun Hota Hai Hairan
Sunni Musalman Main Sunni Musalman

Sharing Is Caring:

Leave a Comment