Rafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Saamañ Ho Gaye lyrics || Barkate Raza

Taslim Fazli Sahab Ka Likha Gaya Yeh Behad Khoobsurat Aur Maqbool-E-Aam Kalam Mohabbat Ki Gehraiyoon Ko Bayan Karta Hai. Ustad Mehdi Hassan Khan Ki Jadu Bhari Awaz Ne Is Ghazal Ko Hamesha Ke Liye Amar Kar Diya Hai. Aaiye Is Ruhani Aur Shiri Kalam Ke Behtareen Ash’aar Ko Padhein.

Naat InformationDetails
Naat TitleRafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Saamañ Ho Gaye
Poet / WriterTaslim Fazli
CategorySufiana Ghazal
Naatkhawan / ReciterUstad Mehdi Hassan Khan
Book NameBarkate Raza Naat Book

Rafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Saamañ Ho Gaye Lyrics In Roman

Rafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Saamañ Ho Gaye
Pahle Jaañ Phir Jaan-E Jaañ Phir Jaan-E Jaana Ho Gaye

Din Ba Din Badhti Gayiñ Is Husn Ki Ranayiyañ
Pahle Gul Phir Gulbadan Phir Gul Ba Daamañ Ho Gaye

Aap To Nazdeek Se Nazdeektar Aate Gaye
Pahle Dil Phir Dilruba Phir Dil Ke Mehmañ Ho Gaye

Pyar Jab Had Se Badha Saare Takalluf Mit Gaye
Aap Se Phir Tum Hue Phir Tu Ka Unwaañ Ho Gaye

Rafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Saamañ Ho Gaye Lyrics In Hindi

रफ़्ता रफ़्ता वो मेरी हस्ती का सामांं हो गए
पहले जां, फिर जान-ए-जां, फिर जान-ए-जानां हो गए

दिन-ब-दिन बढ़ती गयीं इस हुस्न की रानाईयाँ
पहले गुल, फिर गुलबदन, फिर गुलबदामां हो गए

आप तो नज़दीक से नज़दीकतर आते गए
पहले दिल, फिर दिल रुबा, फिर दिल के मेहमां हो गए

प्यार जब हद से बढ़ा सारे तकल्लुफ़ मिट गए
आप से फिर तुम हुए, फिर तू का उनवां हो गए

Rafta Rafta Woh Meri Hasti Ka Saamañ Ho Gaye Lyrics In Urdu

رفتہ رفتہ وہ میری ہستی کا ساماں ہو گئے
پہلے جاں پھر جانِ جاں پھر جانِ جاناں ہو گئے

دن بہ دن بڑھتی گئیں اس حسن کی رعنائیاں
پہلے گل پھر گلبدن پھر گل بداماں ہو گئے

آپ تو نزدیک سے نزدیک تر آتے گئے
پہلے دل پھر دلربا پھر دل کے مہماں ہو گئے

پیار جب حد سے بڑھا سارے تکلف مٹ گئے
آپ سے پھر تم ہوئے پھر تو کا عنواں ہو گئے

Leave a Comment