halke-mein-rasoolon-ke-lyrics

halke-mein-rasoolon-ke-lyrics

 

 

Halke Mein Rasoolon Ke Woh Mah-e-Madni Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu

حلقے مِیں رسولوں ؑ کے وہ ماہِ مدنی ہے

Kya Chand Ki Tanveer Sitaroon Mein Chani Hai.

 

Kehde Mere Esa Se Madine Mein Yeh Koi.

Ab Jan Pe Bemar-e-Mohabbat Ke Bani Hai.

 

Mehboob Ko Be Dekhe Hoye Laut Rahe Hain.

Eshaaq Mein Kya Rang-e-Awais-e-Qarni Hai.

 

Ghar Se Khain Acha Hai Madine Ka Musafir.

Yaan Subh-e-Watan Sham-e-Ghareeb-ul-Watni Hai.

 

Mairaj Mein Horoon Ne Jo Dekha Tu Yeh Bolein.

Kis Nook Palak Ka Yeh Jawan-e-Madni Hai.

 

Ik Umar Se Jalta Hai Magar Jal Nahi Chukta.

Kis Shama Ka Parwana Awais-e-Qarni Hai.

 

Eshaq Se Poche Na Gaye Hashar Mein Amaal.

Kya Bigari Hoi Baat Mohabbat Se Bani Hai.

 

Yaad Ahmad-e-Mukhtar Ki Hai Kaba-e-Dill Mein.

Make Mein Ayaan Jalwah-e-Mah-e-Madni Hai.

 

Kis Shoq Se Jate Hain Madine Ke Musafir.

Mehboob-e-Watan Se Kahin Yeh Be-Watni Hai.

 

Kehta Hai Musafir Se Yeh Har Nakhal-e-Madina.

Aaram Zara Le Lo Yahan Chaon Ghani Hai.

 

Aagosh-e-Tasawur Mein Bhi Aana Nahi Mumkin.

Horoon Se Bhi Barh Kar Teri Naazkbandi Hai.

 

ALLAH Ke Mehboob Se Hai Ishq Ka Dawa.

Bandoon Ka Bhi Kya Hosla ALLAH Ghani Hai.

 

Aankhon Se Tapakta Hai Meri Rang-e-Awaisi.

Jo Lakht-e-Jigar Hai Woh Aqeeq-e-Yamni Hai.

 

Main Oss Ke Ghulamo Mein Hoon Jo Hai Sab Ka Aaqa.

Sardar-e-Rasul Syed-e-Maki Madni Hai.

 

Aada Ne Jahan Mangi Amaa Ruk Gayi Chal Kar.

Shamsheer-e-Hussain Mein Bhi Khalq-e-Hasan Hai.

 

Har Dil Mein Hai Mheboob-e-Ilahi Ki Tajali.

Har Aine Mein Aks-e-Jamal-e-Madni Hai.

 

Maqtal Hai Chaman Naash Pe Horoon Ka Hai Majmaa.

Kay Rang Mein Dobi Meri Khoone Kafni Hai.

 

Pohanchi Hain Kahan Aahein Awais-e-Qarni Ki.

Bagoon Mein Madine Ke Haway-e-Yamni Hai.

 

Kuch Madah Parhoon Roza-e-Pur Noor Pe Chal Kar.

Yeh Baat :AMEER: Ab Tu Mere Dill MEin Thani Hai.

 

Poet: :Ameer Minai:

Naat Khuwan: :ustad Nusrat Fateh Ali Khan:

Naat Khuwan: :Rahat Fateh Ali Khan:

 

#HalkeMeinRasoolon

#NaatLyrics

Sharing Is Caring:

Leave a Comment