Zaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin || Barkate Raza


Syeda Fatima Zehra Salamullahi Alaiha Ki Azmat O Shaan E Mubarak Mein Paish Kiya Jane Wala Yeh Haseen Kalam Dilon Ko Nooraani Aur Ishq E Ahlebait Se Labrez Karta Hai. Aaiye Is Pyari Manqabat Ke Zariye Apne Qalbi Talluq Aur Aqeedat Ko Mazeed Mazboot Banayein.

Naat InformationDetails
Naat TitleZaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin
Poet / WriterSaeed Sadiq
CategoryManqabat E Syeda Fatima Zahra
Naatkhawan / ReciterSyed Mudassir Mehdi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Zaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin Lyrics In Roman

Zaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin
Qabl Kul Ka Likh Sakun Main Marhala Mumkin Nahin

Kibriya Ya Murtaza Ya Mustafa Likkha Faqat
Fatima Ka Is Se Kam To Qaafiya Mumkin Nahin

Karbala Ke Baad Jaise Karbala Mumkin Nahin
Fatima Ke Baad Koi Fatima Mumkin Nahin

Hazrate Abbas Gar Naraz Hain To Jaan Lo
Mubtila Ke Waste Koi Dua Mumkin Nahin

Fatima Ke Naam Ke Maani Ka Jab Bhi Zikr Ho
Us Jagah Pe Hurr Ka Na Ho Tazkira Mumkin Nahin

Kis Tarha Khainchu Naya Haasiya Quraan Par
Aaya E Tatheer Se Badhkar Sana Mumkin Nahin

Ho Fasahat Ho Balaghat Isme Zahra Ki Bayañ
Isme Fizza Ka Bhi Tak Tarjuma Mumkin Nahin

Jo Aza Ke Ya Bila Ke Bughz Se Do Chaar Hai
Le Dawa Lukmaan Ki Lekin Shifa Mumkin Nahin

Aaj Tak Badle Na Sadiq Meesami Tewar Kabhi
Faisla Ham Kar Chuke Ab Faasla Mumkin Nahin

Zaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin Lyrics In Hindi

ज़ात ए ज़हरा पर मुकम्मल तबसिरा मुमकिन नहीं
क़ब्ल कुल का लिख सकूँ मैं मरहला मुमकिन नहीं

किबरिया या मुर्तुज़ा या मुस्तफ़ा लिक्खा फ़क़त
फ़ातिमा का इससे कम तो क़ाफ़िया मुमकिन नहीं

कर्बला के बाद जैसे कर्बला मुमकिन नहीं
फ़ातिमा के बाद कोई फ़ातिमा मुमकिन नहीं

हज़रते अब्बास गर नाराज़ हैं तो जान लो
मुब्तिला के वास्ते कोई दुआ मुमकिन नहीं

फ़ातिमा के नाम की मा’नी का जब भी ज़िक्र हो
उस जगह पे हुर्र का ना हो तज़किरा मुमकिन नहीं

किस तरह खैंचूँ नया हासिया क़ुरआन पर
आया ए ततहीर से बढ़कर सना मुमकिन नहीं

हो फ़साहत हो बलाग़त इसमें ज़हरा की बयां
इसमें फ़िज़्ज़ा का भी तक तर्जुमा मुमकिन नहीं

जो अज़ा के या बिला के बुग़्ज़ से दो चार है
ले दवा लुक़मान की लेकिन शिफ़ा मुमकिन नहीं

आज तक बदले न सादिक़ मीसमी तेवर कभी
फ़ैसला हम कर चुके अब फ़ासला मुमकिन नहीं

Zaat E Zahra Par Mukammal Tabsira Mumkin Nahin Lyrics In Urdu

ذاتِ زہراؑ پر مکمل تبصرہ ممکن نہیں
قبلِ کل کا لکھ سکوں میں مرحلہ ممکن نہیں

کبریا یا مرتضیٰؑ یا مصطفیٰؐ لکھا فقط
فاطمہؑ کا اس سے کم تو قافیہ ممکن نہیں

کربلا کے بعد جیسے کربلا ممکن نہیں
فاطمہؑ کے بعد کوئی فاطمہؑ ممکن نہیں

حضرتِ عباسؑ گر ناراض ہیں تو جان لو
مبتلا کے واسطے کوئی دعا ممکن نہیں

فاطمہؑ کے نام کے معنی کا جب بھی ذکر ہو
اس جگہ پہ حرؑ کا نہ ہو تذکرہ ممکن نہیں

کس طرح کھینچوں نیا حاشیہ قرآن پر
آیہء تطہیر سے بڑھ کر ثناء ممکن نہیں

ہو فصاحت ہو بلاغت اس میں زہراؑ کی بیاں
اس میں فضہؑ کا بھی تک، ترجمہ ممکن نہیں

جو عزا کے یا ولا کے بغض سے دو چار ہے
لے دوا لقمان کی لیکن شفا ممکن نہیں

آج تک بدلے نہ صادق میثمی تیور کبھی
فیصلہ ہم کر چکے اب فاصلہ ممکن نہیں

Leave a Comment