Sab Pe Karam Farmayenge Lyrics

Sab Pe Karam Farmayenge Lyrics

 

Sab Pe Karam Farmayenge Lyrics

sab pe karam farmayenge
baba aaj bigdi banayenge
mere baba fareed uddin

aayenge aayenge aayenge
sab ki wo jholi bhar jayenge

aye dil muraadein dil kahamane ki der hai
baba ke dar pe haath uthaane ki der hai

baba bhi saamne hain saabir bhi saamne
sab kuch milega arz sunaane ki der hai

mil jayega khuda bhi khuda ki khudaayi bhi
ganj e shakar ko apna banaane ki der hai

lete hain naam e fareed uddin
yeh naam bhi kitna pyara hai
bindaad ko woh aa jayenge
baba ka naam pukaara hai
kar denge nazar lenge wo khabar
ham baba ke hain deewane
sab pe karam farmayenge
baba aaj bigdi banayenge

nazdeek wo uske rehte hain
jo yaad mein unki kho jaaye
wo bhi uske ho jaate hain
jo baba piya ka ho jaaye
sab pe hogi nazar baba ganj e shakar
wo toh aayenge laaj nibhaane
sab pe karam farmayenge
baba aaj bigdi banayenge

tashreef wo laane waale hain
mehfil mein khabar yeh aayi hai
deedaar ke taalib baithe hain
yeh dil mein aas lagaayi hai
wo zaroor aayenge jalwa dikhlayenge
raqs karte rahenge deewane
sab pe karam farmayenge
baba aaj bigdi banayenge

purnoor hai soorat baba ki
binn dekhe ab jeena hai kathin
baadab rahengi ham khaaki
yahi hai unka paak pattan
ab nahi koi gham aaj baithe hain ham
unke dar pe banaakar thikaane
sab pe karam farmayenge
baba aaj bigdi banayenge

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment