Woh Zamana Bhi To Kya Khoob Zamana Ho Ga Lyrics || Barkate Raza


Sarkar-E-Do-Alam, Tajdar-E-Haram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan Aur Maqam-E-Hashr Ka Naqsha Khinchti Yeh Ek Nihayat Hi Maqbool Aur Dil-Nasheen Naat-E-Pak Hai. Is Kalam-E-Azeem Mein Ahmed Ali Hakim Sahab Ne Huzoor Aur Unke Noori Gharane Se Aqeedat Ka Nihayat Haseen Izhaar Kiya Hai. Aayiye, Is Noore-E-Irfan Se Labraiz Naat Se Apne Quloob-O-Azhari Ko Munawwar Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleWoh Zamana Bhi To Kya Khoob Zamana Ho Ga
Poet / WriterAhmed Ali Hakim
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterAhmed Ali Hakim
Book NameBarkate Raza Naat Book

Woh Zamana Bhi To Kya Khoob Zamana Ho Ga Lyrics In Roman

Woh Zamana Bhi To Kya Khoob Zamana Ho Ga
JaHogab Ghulamon Mein Woh Hasnain Ka Nana Hoga

Arsa E Hashar Mein Guzray Gi Woh Jab Bint E Nabi
Ehley Mehshar Tumhen Nazron Ko Jhukana Hoga

Jab Ghulamon Mein Woh Hasnain Ka Nana Hoga
Jis Ki Nazron Mein Koi Aur Samaya Hi Nahi

Aisay Lagta Hai Muhammad ﷺ Ka Deewana Hoga
Jab Ghulamon Mein Woh Hasnain Ka Nana Hoga

Maan Jaye Ga Khuda Khud Hi Magar Shart Hai Yeh
Pehlay Mehboob E Llahi Ko Manana Hoga

Jab Ghulamon Mein Woh Hasnain Ka Nana Hoga
Mujh Ko Kiyun Khof E Jahannam Ho Mere Honton Par

Baad Marnay Ke Bhi Haider Ka Taranah Hoga
Jab Ghulamon Mein Woh Hasnain Ka Nana Hoga

Kuch Na Pocheen Ge Firshton Ne Kaha Ae Hakim
Ik Naghma Tumhen Ahmed Ka Sunana Hoga

Jab Ghulamon Mein Woh Hasnain Ka Nana Hoga
Jab Ghulamon Mein Woh Hasnain Ka Nana Hoga

Woh Zamana Bhi To Kya Khoob Zamana Ho Ga
Jab Ghulamoo Mein Woh Hasnain Ka Nana Hoga

Woh Zamana Bhi To Kya Khoob Zamana Ho Ga Lyrics In Hindi

वो ज़माना भी तो क्या ख़ूब ज़माना होगा
जाहोगाब ग़ुलामों में वो हसनैन का नाना होगा

अरसा-ए-महशर में गुज़रेगी वो जब बिन्त-ए-नबी
अहल-ए-महशर तुम्हें नज़रों को झुकाना होगा

जब ग़ुलामों में वो हसनैन का नाना होगा
जिसकी नज़रों में कोई और समाया ही नहीं

ऐसे लगता है मुहम्मद ﷺ का दीवाना होगा
जब ग़ुलामों में वो हसनैन का नाना होगा

मान जाएगा ख़ुदा ख़ुद ही मगर शर्त है ये
पहले महबूब-ए-इलाही को मनाना होगा

जब ग़ुलामों में वो हसनैन का नाना होगा
मुझको क्यों ख़ौफ़-ए-जहन्नुम हो मेरे होंठों पर

बाद मरने के भी हैदर का तराना होगा
जब ग़ुलामों में वो हसनैन का नाना होगा

कुछ ना पूछेंगे फ़रिश्तों ने कहा ऐ हाकिम
इक नग़मा तुम्हें अहमद का सुनाना होगा

जब ग़ुलामों में वो हसनैन का नाना होगा
जब ग़ुलामों में वो हसनैन का नाना होगा

वो ज़माना भी तो क्या ख़ूब ज़माना होगा
जब ग़ुलामों में वो हसनैन का नाना होगा

Woh Zamana Bhi To Kya Khoob Zamana Ho Ga Lyrics In Urdu

وہ زمانہ بھی تو کیا خوب زمانہ ہوگا
جاہوگاب غلاموں میں وہ حسنین کا نانا ہوگا

عرصۂ محشر میں گزرے گی وہ جب بنتِ نبی
اہلِ محشر تمہیں نظروں کو جھکانا ہوگا

جب غلاموں میں وہ حسنین کا نانا ہوگا
جس کی نظروں میں کوئی اور سمایا ہی نہیں

ایسے لگتا ہے محمد ﷺ کا دیوانہ ہوگا
جب غلاموں میں وہ حسنین کا نانا ہوگا

مان جائے گا خدا خود ہی مگر شرط ہے یہ
پہلے محبوبِ الٰہی کو منانا ہوگا

جب غلاموں میں وہ حسنین کا نانا ہوگا
مجھ کو کیوں خوفِ جہنم ہو مرے ہونٹوں پر

بعد مرنے کے بھی حیدر کا ترانہ ہوگا
جب غلاموں میں وہ حسنین کا نانا ہوگا

کچھ نہ پوچھیں گے فرشتوں نے کہا اے حاکم
اک نغمہ تمہیں احمد کا سنانا ہوگا

جب غلاموں میں وہ حسنین کا نانا ہوگا
جب غلاموں میں وہ حسنین کا نانا ہوگا

وہ زمانہ بھی تو کیا خوب زمانہ ہوگا
جب غلاموں میں وہ حسنین کا نانا ہوگا

Leave a Comment