Hazrat Mohammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan-E-Aqdas Me Likha Gaya Yeh Khoobsurat Kalam Dilon Ko Noore-E-Iman Se Munawwar Karta Hai.
Is Pyari Naat-E-Paak Me Huzoor Ke Haseen Rukhsar Aur Waddoha Ke Husn Ka Nihayat Hi Dilkash Aur Roohani Bayaan Kiya Gaya Hai.
Aaiye Is Barkat Bhare Kalam Ke Zariye Pyare Aaqa Ki Bargah Me Apne Aqeedat Ke Phool Pesh Karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aayate Aayton Se Milaakar |
| Poet / Writer | Habibullah Faizi Madhupuri |
| Category | Naat-E-Paak |
| Naatkhawan / Reciter | Habibullah Faizi Madhupuri |
| Book Name | Unknown |
Aayate Aayton Se Milaakar Lyrics In Roman
Aayate Aayton Se Milakar Unki Yak Jaa Sana Kar Raha Hun
Baat Rukhsar Ki Aa Gai Hai Waddoha Waddoha Kar Raha Hun
Khwab Me Hoga Didar-E-Sarwar So Raha Hun Ye Ummid Lekar
Apni Aankhon Ko Mai Band Karke Mustafa Mustafa Kar Raha Hun
Baat Rukhsar Ki Aa Gai Hai Waddoha Waddoha Kar Raha Hun
Pesh Karke Duroodon Ki Daali Poori Duniya Ne Qismat Jaga Li
Is Liye Chhod Kar Mai Bhi Sab Kuchh Sirf Salle Ala Kar Raha Hun
Baat Rukhsar Ki Aa Gai Hai Waddoha Waddoha Kar Raha Hun
Naat-Goi Mera Mashghala Hai Kis Kadar Waqt Jaaga Hua Hai
Faizi Hassam Imame Sukhan Hain Unki Mai Mai Iqtida Kar Raha Hun
Baat Rukhsar Ki Aa Gai Hai Waddoha Waddoha Kar Raha Hun
Aayate Aayton Se Milaakar Lyrics In Hindi
आयातें आयतों से मिलाकर उनकी यक जा सना कर रहा हूँ
बात रुख़सार की आ गई है वद्दोहा वद्दोहा कर रहा हूँ
ख़्वाब में होगा दीदार-ए-सरवर सो रहा हूँ ये उम्मीद लेकर
अपनी आंखों को मैं बन्द करके मुस्त़फ़ा मुस्त़फ़ा कर रहा हूँ
बात रुख़सार की आ गई है वद्दोहा वद्दोहा कर रहा हूँ
पेश करके दुरुदों की डाली पूरी दुनिया ने क़िस्मत जगा ली
इसलिए छोड़ कर मैं भी सब कुछ सिर्फ सल्ले अला कर रहा हूँ
बात रुख़सार की आ गई है वद्दोहा वद्दोहा कर रहा हूँ
नातगोई मेरा मशग़ला है, किस क़दर वक़्त जागा हुआ है
फ़ैज़ी हस्साम इमामे सुख़न हैं, उनकी मैं इक़तिदा कर रहा हूँ
बात रुख़सार की आ गई है वद्दोहा वद्दोहा कर रहा हूँ
Aayate Aayton Se Milaakar Lyrics In Urdu
آیتیں آیتوں سے ملا کر ان کی یک جا ثنا کر رہا ہوں
بات رخسار کی آ گئی ہے والضحیٰ والضحیٰ کر رہا ہوں
خواب میں ہوگا دیدارِ سرور سو رہا ہوں یہ امید لے کر
اپنی آنکھوں کو میں بند کر کے مصطفیٰ مصطفیٰ کر رہا ہوں
بات رخسار کی آ گئی ہے والضحیٰ والضحیٰ کر رہا ہوں
پیش کر کے درودوں کی ڈالی پوری دنیا نے قسمت جگا لی
اس لیے چھوڑ کر میں بھی سب کچھ صرف صلے علیٰ کر رہا ہوں
بات رخسار کی آ گئی ہے والضحیٰ والضحیٰ کر رہا ہوں
نعت گوئی میرا مشغلہ ہے کس قدر وقت جاگا ہوا ہے
فیضی حسام امامِ سخن ہیں ان کی میں اقتدا کر رہا ہوں
بات رخسار کی آ گئی ہے والضحیٰ والضحیٰ کر رہا ہوں