Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte Lyrics
Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte
Jo Yaad E Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم Se Dil Ko Garmaya Nahi Karte
Zaban Parr Shikwae Ranj O Alam Laya Nahi Karte
Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ke Naam Lewa Gham Se Gabraya Nahi Karte
Ye He Darbaar Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم Ka Yahan Milta He Bemangen
Are Nadan Yahaan Daman Ko Phelya Nahi Karte
Yah Darbaar E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم He Yahaan Apno Ka Kya Kehna
Yahaan Se Hath Khali Gher Bhi Jaya Nahi Karte
Are O Na-Samaj Qurban Hoja unke Roze Par
Ye Lamhe Zindagi Me Baar Baar Aya Nahi Karte
Muhammad Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم Ki Shaan E Rehmet To Zarah Dekho
Sittam Sehte To Heyn Lekin Sittam Daya Nahi Karte
Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi
Muhammad Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم Ke Baagh Keh Sabh Phool Aise Heyn
Ye Bepaani Ke Tarr Rehte Heyn Murjaya Nahi Karte
Nadamat Sath Le Karr Hashr Me Ae Aasio Jana
Sonna He Sharm Walo Ko Woh Sharmaya Nahi Karte
Aggar Ho Jazba E Sadiq To Aksar Humne Dekha He
Woh Khud Tashreef Le Ate Heyn Tarpaya Nahi Karte
Jo Inke Damaan E Rehmet Se Wabasta Heyn Ae Hamid
Kissi Ke Samne Woh Hath Phelaya Nahi Karte
Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte
Jo Yaad E Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم Se Dil Ko Garmaya Nahi Karte