Haiz Aur Nifas Kise Kehte Hai?

Haiz Aur Nifas Kise Kehte Hai?

 

 

HAIZ, NIFAAS AUR JANAABAT KA BAYAN:

SAWAAL:  Haiz aur nifaas kise kehte hai ?

JAWAAB:  Baaliga aurat ke aage ke muqaam se jo khoon aadi taur par nikalta hai aur bimari ya bachcha paida hone ke sabab se na ho toh usse haiz kehte hai, uski muddat kam se kam teen din aur ziyada se ziyada dass din hai, isse kam ya ziyada ho toh bimari yaani istihaaza hai, aur bachcha paida hone ke baad jo khoon aata hai usse nifaas kehte hai, nifaas me kami ki jaanib koyi muddat muqarar nahi aur ziyada se ziyada uska zamaana chalees din hai. Chalees din ke baad jo khoon aaye woh istihaaza hai.

SAWAAL:  Haiz wa nifaas ka hukm kya hai ?

JAWAAB:  Haiz wa nifaas ki haalath me roza rakhna aur namaaz padhna haraam hai, unn dino me namaaze maaf hai unki qaza bhi nahi magar rozon ki qaza aur dino me rakhna farz hai aur haiz wa nifaas wali aurat ko Qur’aan majeed padhna haraam hai khwaah dekh kar padhe ya zubaani aur uska chuna agarche uski jild ya haashiya ko haath ya ungli ki naak ya badan ka koi hissa lage sab haraam hai.  Haan juzdaan me Qur’aan majeed ho toh uss juzdaan ke chune me harz nahi.

SAWAAL:  Jise Ehtilaam huwa aur aise mard wa aurat ki jin par Gusl farz hai unke liye kya hukm hai?

JAWAAB:  Aise loogo ko Gusl kiye bagair namaaz padhna, Qur’aan majeed dekh kar ya zubaani padhna uska chuna aur masjid me jaana haraam hai.

SAWAAL:  Kya jis par Gusl farz ho woh masjid me nahi ja sakta ?

JAWAAB:  Jis par Gusl farz ho usse masjid ke uss hisse me jaana haraam hai ki jo dakhile masjid hai yani namaaz ke liye banaaya gaya hai aur woh hisse ki jo fanaaye masjid hai yani istinja qaana, Gusl qaana aur Wuzu gaah wagairah toh uss jagah jaane me koyi harz nahi bashart hai ki unme jaane ka raasta daakhile masjid se hokar na guzarta ho.

SAWAAL:  Aise mard wa aurat ki jin par Gusl farz hai woh Qur’aan ki taaleem de sakte hai ya nahi ?

JAWAAB:  Aise loog ek ek kalima saans tood tood kar padha sakte hai aur hijje karaane me koyi harz nahi.

SAWAAL:  Bewuzu Qur’aan shareef chuna wa padhna jaayiz hai ya nahi ?

JAWAAB:  Bewuzu Qur’aan shareef chuna haraam hai bechuye zubaani ya dekh kar padhe toh koyi harz nahi.

SAWAAL:  Bewuzu paarah Amma ya kisi dusre paarah ka chuna kaisa hai ?

JAWAAB:  Bewuzu paarah Amma ya kisi dusre paarah ka chuna bhi haraam hai.

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: