yaad e nabi ka gulshan Lyrics
yaad e nabi ka gulshan mehka mehka lagta hai
mehfil mein maujood hain aaka aisa lagta hai
mehfil mein aaye hain wo
jo mangna hai mango
jo lena hai le lo
salle allah pukaro sarkaar aa gaye hain
utho ae besahaaron sarkaar aa gaye hain
ba adab sar ko jhuka lo meri sarkaar aaye
farsh ankhon ka bichcha lo meri sarkar aaye
deed ahmad ke liye aansuon se karke waju
apni mehfil ko saja lo meri sarkar aaye hain
naam e muhammad kitna meetha meetha lagta hai
lab pe jab unka naam aata hai
lamakan se salaam aata hai
naam e naami rasool e akrab ka
har musibat mein kaam aata hai
naam hum leke muhammad ka jiye jayenge
iss tarah jeene ka saaman kiye jayenge
ranj mite hain sukoon milta hai unke dam se
hum muhammad ka sada naam liye jayenge
tazim se leta hai khuda naam e muhammad
kya naam hai ae salle allah naam e muhammad
allah kare uspe haraam atishe do zakh
jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad
muhammad muhammad yun hi pukaara chale ja
yun hi zindagaani guzare chale ja
haq se jamaal e qibriya salle allah muhammadin
noor e khuda khuda numah salle allah muhammadin
uska bada naseeb hai haq ke bahut kareeb hai
jiska wazeefa hai sada salle allah muhammadin
mushkil o gham ke waaste ranj o malaal ke liye
yehi dua yehi dawa salle allah muhammadin
dono jahaan ki neimatein uska naseeb bann gayi
jisne adab se pad kiye salle allah muhammadin
naam e muhammad kitna meetha meetha lagta hai
pyaare nabi ka zikr bhi humko pyaara lagta hai
lab par nagme salle allah ke haathon mein kashkol
dekho toh sarkaar ka mangta kaisa lagta hai
aankhon mein mazaar ka kajla sar taaha ka taj
kiasa kahoon kamli waala ham jaisa lagta hai
ghous qutub abdaal qalandar sab unke muhtaaz
mera daata har daata ka daata lagata hai
aur adna ki sej saji hai arsh e bareen pe aaj
haq ka dulaara bandh ke sehra dulha lagta hai
aao sunaye apne nabi ko apne gham ki baat
unke ilaawa kaun ‘Niyazi’ apna lagta hai