Mere Nabi Sa Koi Saahib E Kamaal Nahi Lyrics
Mere Nabi Sa Koi Sahib E Kamaal Nahi Naat Lyrics
Shayar: Allama Hayaat Banarsi | Naat e Paak
Naat Khwan: Asad Iqbal, Afroz Alam.
मेरे नबी सा कोई साहिबे कमाल नहीं
ये वो रसूल हैं जिनकी कोई मिसाल नहीं
Mere Nabi Sa Koi Sahab Kamaal Nahi
Ye Wo Rasool Hein Jinki Koi Misaal Nahi
कोई अव्वलीं, कोई हमसरे बिलाल नहीं
तेरे ग़ुलामों की आक़ा कोई मिसाल नहीं
Koi Awwali, Koi Ham Sarey Bilaal Nahi
Tere Ghulamon Ki Aaqa Koi Misaal Nahi
वोह जब चाहें मदीने में हमको बुलवायें
हमें मुहाल है उनके लिए मुहाल नहीं
Woh Jab Chahen Madine Me Hamko Bulwayen
Hame Muhaal Hai Unke Liye Muhaal Nahi
दरे रसूल तक आये बग़ैर ह़ुक्मे रसूल
बशर तो क्या हैं फ़रिश्तों की भी मजाल नहीं
Sarey Rasool Aaye Baghair Hukm-E-Rasool
Bashar To Kya Hein Farishton Ki Bhi Mazaal Nahi
वोह हुस्न है कि खुदाई निसार होती है
जमाल ऐसा कि युसुफ़ का भी जमाल नहीं
Woh Husn Hai Ki Khudaai Nisaar Hoti Hai
Jamaal Aisa Ki Yusuf Ka Bhi Jamaal Nahi
उसे उरुज की मन्ज़िल न मिल सकेगी कभी
जिसे कि अज़मते सरकार का ख़्याल नहीं
Use Urooj Ki Manzil Na Mil Sakegi Kabhi
Jise Ki Azmat E Sarkar Ka Khyaal Nahi
इशारा ऐसा कि सूरज फिरे क़मर शक़ हो
बजुज़ ह़ुज़ूर किसी में भी यह कमाल नहीं
Ishara Aisa Ki Suraj Firey Qamar Shaq Ho
Bajuz Huzoor Kisi Me Bhi Yeh Kamaal Nahi
ये जिब्राईल ने सिदरह पे अ़र्ज़ की, कि हुज़ूर
क़दम बढ़ाने की आगे मेरी मजाल नहीं
Ye Jibraeel Ne Sidrah Pe Arz Ki, Ki Huzoor
Qadam Badane Ki Aage Meri Majaal Nahi
पलक ना झपकी कि लौट आए जाके अ़र्श से आप
फ़ज़ा में चांद उड़ा तो कोई कमाल नहीं
Palak Jhapakti Ki Lout Aaye Jaake Arsh Se Aap
Faza Me Chand Uda To Koi Kamaal Nahi
वही खुदा है मुह़म्मद वही नमाज़ वही
अज़ां वही है मगर जज़्बए बिलाल नहीं
Wahi Khuda Hai Muhammad Wahi Namaz Wahi
Aza(N) Wahi Hai Magar Jazba E Bilaal Nahi
हयात होती है हर इक पे बारिशे रह़मत
यहां पे शाहो गदा का कोई सवाल नहीं
Hayaat Hoti Hai Har Ik Pe Barish E Rahmat
Yahan Pe Shaho Gada Ka Koi Sawal Nahi