Chalo Diyar E Nabi Ki Janib Naat Lyrics

Chalo Diyar E Nabi Ki Janib Naat Lyrics

 

 

CHALO DIYAAR-E-NABI KI JAANIB NAAT LYRICS

Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar

Bahaar Luuttain Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana Kar

 

Na Un Ke Jesa Sakhi Hei Koii Na Un Ke Jesa Ghani Hei Koii

Wo Be-Nawa-O Ka Har Jaga Se Nawaazte Hein Bula Bula Kar

 

Mein Wo Nikamma Hun Jisski Jholi Main Koii Husn-E-Amal Nahiin Hei

Magar Wo Ihsaan Kar Rahe Hein Khata-Ain Meri Chhupa Chhupa Kar

 

Hei Unki Ummat Se Pyaar Kitna Karam Hei Rahmat Sha’aar Kitna

Hamaare Jurmon Ko Dho Rahe Hein Wo Apne Aansu Baha Baha Kar

 

Yahi Asaas-E-Amal Hei Meri Issi Se Bigrri Bani Hei Meri

Samett-Ta Hun Karam Khuda Ka Nabi Ki Naatain Suna Suna Kar

 

Wo Raahain Ab Tak Saji Huii Hein Dilon Ka Kaaba Bani Huii Hein

Jahaan Jahaan Se Huzur Guzre Hein Naqsh Apna Jama Jama Kar

 

Agar Muqaddar Ne Yaawri Ki Agar Madine Gya Mein Khaalid

Qadam Qadam Khaak Uss Gali Ki Mein Chuum Lun Ga Uttha Uttha Kar

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment