AY SHAAM TEREY BAAZARON SE AATI HAI SADAA ZANJEERON KI LYRICS

AY SHAAM TEREY BAAZARON SE AATI HAI SADAA ZANJEERON KI LYRICS

 

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki
Khamosh Zubaan Hai Khanjar Ki Gardan Hai Jhuki Shasheeron Ki
Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki

  1. Ye Naqsh-E- Kafe Paae Aabid Aayat Hai Bolte Quraan Ki
    Hai Aabilae Paa Qatrae Qun Hai Aaene Huq Aur Eimaan Ke
    Chamkegi Jabeen Suraj Bankar X2
    Tha Hashr Unhi Tehreeron Ki

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki

  1. Shabbir Pe Rouze Aashura Dhae Gae Laakhon Zulmon Sitaam
    Zakhmi Tha Badan Chalni Tha Jigar Maidaan Mein Tanha Shahe Umam
    Barsae Gaye The Patthar Bhi X2
    Baarish Bhi Huvi Thi Teeron Ki

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki

  1. Naize Se Tilavath Shah Ne Ki Ek Hashr Bapaa Baazar Mein Tha
    Darbaar Mein Qutbae Zainab Se Larza Sa Dar-O-Deevar Mein Tha
    Mimbar Pe Gaye Sajjad-E-Hazeen X2
    Ek Goonj Uthi Taqreeron Ki

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki

  1. Wo Shaam-E-Gareeban Ka Manzar Tha Ek Qayamat Ka Aalam
    The Sehme Huve Nanhe Bache Hairaan-O-Pareshan Ehl-E-Haram
    Qaimon Ko Jalaen The Aadan X2
    Haalat Thi Ajab Dilgeeron Ki

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki

  1. Cheeni Hai Laeenon Ne Chadar Durre Bhi Lagae Hai Zaalim
    The Ek Rasan Mein Barah Gale Kaaro Pa Chalaen Hai Zaalim
    Ye Izzat Ye Tauqeer Huvi X2
    Tatheer Ke Daamangeeron Ki

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki

  1. Asghar Ke Gale Par Teer Lagaa Akbar Ke Kaleje Mein Naiza
    Ek Kundh Churi Se Zaalim Ne Shabbir Ka Kaata Khushk Galaa
    Yun Kaati Gae Hai Shiryaane X2
    Quraan Teri Tafseeron Ki

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki

  1. Ye Aah-O-Fughaan Ye Ashko Lahu Ye Tazia Aur Ye Majlise Ghaam
    Ye Seena Zani Ye Mask-O-Alam Ye Nouha-E-Irfan Aur Matam
    Halki Si Jhalak Hai Ek Akhtar X2
    Un Dard Bhari Tasveeron Ki

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki X2

Noha Information:
Nauha Artist: Irfan Hussain
Nawha Album: Irfan Hussain – 2008

Sharing Is Caring:

Leave a Comment