Chanay Lagi Sham e Ghariban lyrics

Chanay Lagi Sham e Ghariban lyrics

 

 

छाने लगी शाम-ए-ग़रीबां, हाय क़यामत का है समां

हाय क़यामत का है समां
हाय क़यामत का है समां
हाय क़यामत का है समां
छाने लगी शामे ग़रीबां
हाय क़यामत का है समां

खैमा-ए-शादाद से उठता धुआं
खैमा-ए-शादाद से उठता धुआं

हाय क़यामत का है समां
छाने लगी शामे ग़रीबां
हाय क़यामत का है समां

ढल गया दिन खत्म लड़ाई हुई
मौत की खामोशी है छाई हुई
चाक गिरेबान ख़ुदाई हुई
ख़ाक़ बशर फ़ातिमा जाई हुई
लरजी ज़मीं कांप उठा आसमां

हाय क़यामत का है समां
छाने लगी शामे ग़रीबां
हाय क़यामत का है समां

मादर-ए-अकबर का अजब हाल है
देता है जब कोई तसल्ली उसे
कहती है रोते हुए दिल थाम के
खो गए इस बन में सहारे मेरे
मर गया हाय मेरा करियल जबां

हाय क़यामत का है समां
छाने लगी शामे ग़रीबां
हाय क़यामत का है समां

मां हूँ हर इक रंज उठाऊंगी मैं
रोते हुए खुद चली जाऊंगी मैं
ढूंढ के बेशीर को लाऊंगी मैं
इसके बिना जी नहीं पाऊंगी मैं
रह गया हाय मेरा बच्चा कहाँ

हाय क़यामत का है समां
छाने लगी शामे ग़रीबां
हाय क़यामत का है समां

हाय ये बेचारगी ये बेकसी
देता नहीं उसको दिलासा कोई
दरमियाँ लाशों के अकेली खड़ी
कहती है बच्ची कोई सहमी हुई
ढूंढने जाऊं तुम्हे बाबा कहाँ

हाय क़यामत का है समां
छाने लगी शामे ग़रीबां
हाय क़यामत का है समां

है ये गौहर अज़मत-ए-बिनते अली
सबको संम्भाला भी, हिफ़ाज़त भी की
ग़म में शाहे दीं के भी रोती रही
ममता पे आंच भी आने न दी
मां तो है बस औन-ओ-मुह़म्मद की मां

हाय क़यामत का है समां
छाने लगी शामे ग़रीबां
हाय क़यामत का है समां

Nouha Khwan: Amanat Ali Khan, Ghulam Abbas Khan

Haye Qayamat Ka Hai Sama
Haye Qayamat Ka Hai Sama
Haye Qayamat Ka Hai Sama
Chanay Lagi Sham e Ghariban
Haye Qayamat Ka Hai Sama

Khaima-e-sadaad Se Uthha Dhuan
Khaima-e-sadaad Se Uthha Dhuan

Haye Qayamat Ka Hai Sama
Chanay Lagi Sham e Ghariban
Haye Qayamat Ka Hai Sama

Dhal Gaya Din Khatm Ladaai Hui
Mout Ki Khamoshi Hai Chhaai Hui
Chaak Gireyban Khudaai Hui
Khaaq Bashar Fatima Jaai Hui
Larji Zami.n Kaanp Utha Aasma.n

Haye Qayamat Ka Hai Sama
Chanay Lagi Sham e Ghariban
Haye Qayamat Ka Hai Sama

Maadar-e-Akbar Ka Ajab Haal Hai
Deta Hai Jab Koi Tasalli Usey
Kahti Hai Rote Huye Dil Thaam Ke
Kho Gaye Is Ban Me Sahare Mere
Mar Gaya Mera Haye Kariyal Jawa.n

Haye Qayamat Ka Hai Sama
Chanay Lagi Sham e Ghariban
Haye Qayamat Ka Hai Sama

Maa Hun Har Ik Ranj Uthaugi Main
Rotey Huye Khud Chali Jaungi Main
Dhoond Ke Baysheer Ko Laaungi Main
Iske Bina Ji Nahi Paaungi Main
Rah Gaya Haye Mera Bachcha Kahan

Haye Qayamat Ka Hai Sama
Chanay Lagi Sham e Ghariban
Haye Qayamat Ka Hai Sama

Haye Ye Bechargi Ye Bekasi
Deta Nahin Usko Dilasa Koi
Darmiya Laashon Ke Akeli Khadi
Kahti Hai Bachchi Koi Sahmi Hui
Dhoondhne Jaun Tumhe Baba Kahan

Haye Qayamat Ka Hai Sama
Chanay Lagi Sham e Ghariban
Haye Qayamat Ka Hai Sama

Hai Ye Ghouhar Azmat e Binte Ali
Sabko Sambhala Bhi Hifazat Bhi Ki
Gham Me Shahe deen Ke Bhi Roti Rahi
Maamta Pe Aanch Bhi Aane Na Di
Maa To Hai Bas Aun-o-Muhammad Ki Maa

Haye Qayamat Ka Hai Sama
Chanay Lagi Sham e Ghariban
Haye Qayamat Ka Hai Sama

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: