Ham Dar-E-Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain Lyrics
Ham dar-e-Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pay sar apna jhuka letay hain
Sach bataana array duniya tera kya letay hain
Uss ko aankho pay bithaatay hain zamaane waalay
Jiss ko Mehboob e-KHUDA apna bana letay hain
Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein
Jab bhi Sarkaar ki marzi ho bula letay hain
Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag
Ham gham e Ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)may bhi maza letay hain
Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa meray
Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain
Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat
Teri mehfil Teray dewaanay saja letay hain
Ye bhi Sarkaar ki rehmat hay karam hay unka
Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain
Gumbad-e-Khazra KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen)
Dekh letay hain Tujhay pyaas bujha letay hain
- Mufti Mahmood Jaan
- Hazrat Khwaja Sayyed Sadr-ud-deen Abul Fatah Muhammad Husaini Biography
- Hazrat Miyan Raaj Shaah Sundhwi Biography
- Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Ṡaani Chishti Biography
- Hazrat Imaam Abu Haamid Muhammad al-Ghazaali Biography
- Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Semnani Biography
- Syed Ahmed Kabir Rifai Biography Roman Urdu and English
- Hazrat Imaam Zain-ul-Aabideen Ali al-Awsat rahmatullahi alaihi