Ae saba Mustafa se kah dena gam ke mare salam kahte hain Naat Lyrics

Ae saba Mustafa se kah dena gam ke mare salam kahte hain Naat Lyrics

 

Ae saba Mustafa se kah dena gam ke mare salam kahte hain

Yaad karta hain tum ko sham-o-sahar, dil hamare salam kahte hain,

 

Allah Allah Huzur ki baatein, marhaba marhaba Rungo Noor ki baatein,

Chand jinki balaaye leta hain, aur taare salam kahte hain,

 

Jab Muhammad ka naam aata hain, rahmaton ka payaam aata hain,

Lab hamare Durood parte hain, dil hamare salam kahte hain,

 

Allah Allah Huzur ki ghesu, bheeni bheeni mahekti woh khushbu,

Jin se maamur hain fiza he so, woh nazaare salam kahte hein,

 

Zaire Taiba tu Madine mein, pyaare Aaqa se itna kah dena,

Aap ki gard-e-raah ko Aaqa, be-sahare salam kahte hain,

 

Zikr tha aakhiri mahine ka, tazkira chird gaya Madine ka,

Hajiyo Mustafa se kah dena gam ke mare salam kahte hain.

 

Aye saba Mustafa se kah dena gam ke mare salam kahte hain,

Yaad karta hain tum ko sham-o-sahar, dil hamare salam kahte hain.

 

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: