Hazrat Imam Hussain alayhis salam ki mohabbat aur azmat ko bayan karta ye nihayat hi khoobsurat aur maqbool kalam dilon me jazba-e-Husainiat ko bedar karta hai. Is kalam me deen-e-Islam aur har ek islami roon-o-shaan ko Shah-e-Karbala ke sadqe se mansoob kiya gaya hai. Aaiye is makhsoos aur roohani manqabat ko poori aqeedat o mohabbat ke sath padhein aur Maula Hussain ki bargah me nazrana-e-aqeedat pesh karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ye Dil Bhi Husaini Hai, Ye Jaan Bhi Husaini Hai |
| Poet / Writer | Ahmed Ali Hakim |
| Category | Manqabat |
| Naatkhawan / Reciter | Milad Raza Qadri / Ahmed Ali Hakim / Hasan bin Khurshid |
Naat Lyrics in Roman
ye dil bhi husaini hai, ye jaa.n bhi husaini hai
sad-shukr ki apna to imaa.n bhi husaini hai
tu maane ya na maane, apna to aqeeda hai
har qaari ke honto.n par qur.aa.n bhi husaini hai
raunaq hai masaajid me.n shabbir ke sadqe se
mimbar bhi husaini hai, aazaa.n bhi husaini hai
jibreel jhulaata hai hasnain ke jhoole ko
lagta hai ki aaqa ka darbaa.n bhi husaini hai
girne nahi.n deta hai kaandho.n se nawaaso.n ko
kya KHoob ki nabiyo.n ka sultaa.n bhi husaini hai
dha.Dkan ki nagariya me.n dekha to nazar aaya
hasrat bhi husaini hai, armaa.n bhi husaini hai
tum samjho ya na samjho, ai ahl-e-jahaa.n ! lekin
hai lab pe jo Haakim ke ye bayaa.n bhi husaini hai
Poet: Ahmed Ali Hakim
Naat-Khwaan: Milad Raza Qadri, Ahmed Ali Hakim, Hasan bin Khurshid
Naat Lyrics in Hindi
ये दिल भी हुसैनी है, ये जाँ भी हुसैनी है
सद-शुक्र कि अपना तो ईमाँ भी हुसैनी है
तू माने या न माने, अपना तो अक़ीदा है
हर क़ारी के होंटों पर क़ुरआँ भी हुसैनी है
रौनक़ है मसाजिद में शब्बीर के सदक़े से
मिम्बर भी हुसैनी है, आज़ाँ भी हुसैनी है
जिब्रील झुलाता है हसनैन के झूले को
लगता है कि आक़ा का दरबाँ भी हुसैनी है
गिरने नहीं देता है काँधों से नवासों को
क्या ख़ूब कि नबियों का सुल्ताँ भी हुसैनी है
धड़कन की नगरिया में देखा तो नज़र आया
हसरत भी हुसैनी है, अरमाँ भी हुसैनी है
तुम समझो या न समझो, ए अहल-ए-जहाँ ! लेकिन
है लब पे जो हाकिम के ये बयाँ भी हुसैनी है
शायर: अहमद अली हाकिम
नात-ख़्वाँ: मीलाद रज़ा क़ादरी, अहमद अली हाकिम, हसन बिन ख़ुर्शीद
Naat Lyrics in Urdu
یہ دل بھی حسینی ہے، یہ جاں بھی حسینی ہے
صد شکر کہ اپنا تو ایماں بھی حسینی ہے
تو مانے یا نہ مانے، اپنا تو عقیدہ ہے
ہر قاری کے ہونٹوں پر قرآں بھی حسینی ہے
رونق ہے مساجد میں شبیر کے صدقے سے
منبر بھی حسینی ہے، اذاں بھی حسینی ہے
جبریل جھلاتا ہے حسنین کے جھولے کو
لگتا ہے کہ آقا کا درباں بھی حسینی ہے
گرنے نہیں دیتا ہے کاندھوں سے نواسوں کو
کیا خوب کہ نبیوں کا سلطاں بھی حسینی ہے
دھڑکن کی نگریا میں دیکھا تو نظر آیا
حسرت بھی حسینی ہے، ارماں بھی حسینی ہے
تم سمجھو یا نہ سمجھو، اے اہل-ِجہاں! لیکن
ہے لب پہ جو حاکم کے یہ بیاں بھی حسینی ہے
شاعر: احمد علی حاکم
نعت خواں: میلاد رضا قادری، احمد علی حاکم، حسن بن خورشید