Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se Naat Lyrics
NA HO ARAM JIS BIMAR KO SARE ZAMANE SE NAAT LYRICS
Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se
Utha Le Jayein Thodi Khak Unke Aastane Se…
Tumhare Dar Ke Tukro Se Paraa Palta Hai Ek Aalam
Guzara Sab Ka Hota Hai Isi Muhtaaj Khane Se…
Koi Firdaus Ho Ya Khuld Ho Hum Ko Garaz Matlab
Lagaya Ab Toh Bistar Aap Hi Ke Aastane Se…
Na Kyon Unki Taraf Allah Saw Saw Pyar Se Dekhe
Jo Apni Ankhein Malte Hain Tmhare Aastane Se…
Tumhare To Woh Ehsaan Aur Na-Farmaniyan Apni
Hame Toh Sharm Si Aati Hai Tmko Munh Dikha Ne Se…
Bahar-E-Khuld Sadq-E-Ho Rahi Hai Roo-E-Aashiq Per
Khili Jati Hain Khaliyan Dil Ki Tere Muskurane Se…
Bulalo Apne Dar Per Ab Toh Hum Khana Badoshon Ko
Phirein Kb Tq Kalyan Khowar Dar Dar Be Thikane Se…
Na Pahonche Unke Qadmo Tak Na Kuch Husne Amal Hi Hai
#HASSAN Kya Puchte Ho Hum Gaye Guzre Zamane Se….