Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag || Barkate Raza


Ye Pyari Naat Sharif Huzoor Nabi E Kareem Ki Shan E Mubarak Aur Un Ke Buland Rutbe Par Mabni Hai. Is Kalame Pak Mein Rahmat E Alam Ki Be-Mishal Azmat, Shafqat Aur In’aamaat Ka Azeem Zikr Hai. Is Khubsurat Naat Ko Padhiye Aur Bazaat E Khud Apne Dil Ko Anware Mustafa Se Munawwar Kijiye.

Naat InformationDetails
Naat TitleMere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag
Poet / WriterUnknown
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Lyrics In Roman

Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag
Jaise Rutbe Me Qur’an Sabse Alag

Shaane Khairul Basher Khatamul Ambiya
Ik Payambar Ik Insaan Sabse Alag

Shafqate Be-Sabab Rehmate Be-Talab
Unki Bakshish Ka Unwaan Sabse Alag

Arsh Qadmo Me Payvand Poshak Me
Hai Do Aalam Ke Sultaan Sabse Alag

Unko Dekha Nahi Fir Bhi Pehchan Le
Meri Aankho Ka Imaan Sabse Alag

Unke Darr Ke Gada Sar Pe Taaje Ana
Hum Faqeero Ki Pehchan Sabse Alag

Naat Kehte Hai Dil Ki Zameeno Me Hum
Shayar Apna Hai Maidan Sabse Alag

Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Lyrics In Hindi

मेरे आक़ा की है शान सबसे अलग
जैसे रुतबे में क़ुरआन सबसे अलग

शाने ख़ैरुल बशर ख़ातमुल अम्बिया
इक पयम्बर इक इंसान सबसे अलग

शफ़क़ते बे-सबब रहमते बे-तलब
उनकी बख़्शिश का उनवान सबसे अलग

अर्श क़दमों में पैवंद पोशाक में
हैं दो आलम के सुल्तान सबसे अलग

उनको देखा नहीं फिर भी पहचान लें
मेरी आँखों का ईमान सबसे अलग

उनके दर के गदा सर पे ताजे अना
हम फ़क़ीरों की पहचान सबसे अलग

नात कहते हैं दिल की ज़मीनों में हम
शायर अपना है मैदान सबसे अलग

Mere Aaqa Ki Hai Shaan Sabse Alag Lyrics In Urdu

میرے آقا کی ہے شان سب سے الگ
جیسے رتبے میں قرآن سب سے الگ

شانِ خیر البشر خاتم الانبیاء
اک پیامبر اک انسان سب سے الگ

شفقتِ بے سبب رحمتِ بے طلب
ان کی بخشش کا عنوان سب سے الگ

عرش قدموں میں پیوند پوشاک میں
ہیں دو عالم کے سلطان سب سے الگ

ان کو دیکھا نہیں پھر بھی پہچان لیں
میری آنکھوں کا ایماں سب سے الگ

ان کے در کے گدا سر پہ تاجِ انا
ہم فقیروں کی پہچان سب سے الگ

نعت کہتے ہیں دل کی زمینوں میں ہم
شاعر اپنا ہے میدان سب سے الگ

Leave a Comment