use-farooq-kehte-hain-lyrics

use-farooq-kehte-hain-lyrics

Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein Lyrics || Hafiz Tahir Qadri
Salam Salam Salam Ya Umar
Salam Salam Salam Ya Umar
Ya Umar…. Ya Umar….

Umar ka Daman na chhodenge
Umar ka Daman na chhodenge

Zamana janta hai ke Muraade Mustafa hai Wo
Nirali Shaan hai Uski Khalifa Dusra hai Wo
Ali bhi Jiska ho jaaye Use Farooq kehte hein
Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein

Gali Gali Nagar Nagar Umar Umar Umar Umar
Gali Gali Nagar Nagar Umar Umar Umar Umar

Sitaaron ke barabar Nekiyaan Jiski batate hein
Jise Siddiqe Akbar Jaan-Nasheen Apna banaate hein
Jise Farooq keh kar Pyaar se Aaqa bulaate hein
Jise Duniya mein Jannat ki Basharat bhi sunaate hein
Naseeban Aesa Jo paaye Use Farooq kehte hein
Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein

Jidhar se dekhiye Farooq Ek Dafa’a guzar jaae
Nahin Shaytaan ki himmat ke bhoole se udhar jaae
Umar to Naam hai Aesa Munafiq sun ke dar jaae
Umar ki Manqabat padh do Sabaee jhal ke mar jaae
Wo Jiska ro’ab chha jaae Use Farooq kehte hein
Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein

Umar ka Daman na chhodenge
Umar ka Daman na chhodenge

Hadeese Paak mein Naame Umar Manqool hai Logon
Umar Baage Risalat ka Haseen Ek Phool hai Logon
Umar Saare Zamane mein bahot Maqbool hai Logon
Umar ka Naam Dushman ke liye chhatrol hai Logon
Munafiq Jis se gabraae Use Farooq kehte hein
Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein

Gali Gali Nagar Nagar Umar Umar Umar Umar
Gali Gali Nagar Nagar Umar Umar Umar Umar

Umar Farooq ka rutba Sahabaa mein Niraala hai
Umar ke adal ka gairon mein bhi milta hawala hai
Umar ki jurrate payham ke aage kham himalaa hai
Umar ke Naam ka Azhar Jahan mein bol-bala hai
Jo jaari Neel kar jaae Use Farooq kehte hein
Jo Dar Kaabe ka khulwaae Use Farooq kehte hein

Sharing Is Caring:

Leave a Comment