sarkaar shaah-e-meeraan deewaana yaad karega lyrics

 

sarkaar shaah-e-meeraan deewaana yaad karega lyrics

 

 

sarkaar shaah-e-meeraa.n !
sarkaar shaah-e-meeraa.n !

deewaana yaad karega, deewaana yaad karega
deewaana yaad karega

kya shaan hai shaah-e-meeraa.n ki
lauTa na koi KHaali dar se
ye aal hai shaah-e-jeelaa.n ki
rauze par abr-e-karam barse

hai.n meeraa.n waliyo.n ke sultaan
gharaana in ka ‘azeemushshaan

deewaana yaad karega, deewaana yaad karega
deewaana yaad karega

to ranj-o-alam ke toofaa.n se
kyu.n mera dul ghabraata hai
hai nisbat hamaari meeraa.n se
ashraf se hamaara naata hai

karenge wo ham par ehsaan
to hogi har mushkil aasaan

deewaana yaad karega, deewaana yaad karega
deewaana yaad karega

sarkaar raees-e-millat ka
is daur me.n koi nahi.n saani
daaman ko thaam le un ka jo
banta hai ashrafi meeraani

na honge meeraani hairaan
raees-e-ashraf ka farmaan

deewaana yaad karega, deewaana yaad karega
deewaana yaad karega

armaan hai mera barso.n se
meeraa.n ki ziyaarat ho jaae
aa jaae.n, Nizaami ! KHwaab me.n
kuchh aisi ‘inaayat ho jaae

jo dekhe in ka ruKH-e-zeeshaan
to aa jaae jaan me.n jaan

deewaana yaad karega, deewaana yaad karega
deewaana yaad karega

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: