Aye Hind Ke Raja Khwaja Piya Ek Baar To Aisa Ho Jaaye Lyrics || Barkate Raza

Sultan-ul-Hind Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti Sanjari Al-Ajmeri ki shaan-e-aqdas mein likhi gayi ye intehai mashhoor aur dil-kash manqabat har aashiq-e-gareeb nawaz ke dil ki pukar hai. Is kalam-e-pak mein maseeha-e-dauran Khwaja Piya ki bargah-e-ali mein apni be-basi aur ajmer mein maut ki haseen hasrat ko nihayat hi fazaail-bhaare andaz mein pesh kiya gaya hai. Aaiye is roohani kalam ke pakiza alfaaz ko nihayat hi adab o aqeedat ke sath padhein aur khwaja piya ka faiz hasil karein.

Naat Information Details
Naat Title Aye Hind Ke Raja Khwaja Piya
Poet / Writer Sayyid
Category Manqabat-e-Khwaja Garib Nawaz (R.A.)
Naatkhawan / Reciter Various Famous Reciters

Naat Lyrics in Roman

Aye Hind ke Raja Khwaja piya ek baar to aisa ho jaaye
Baatin ki nigaahe khul jaayen jalwon ka nazara ho jaaye

Beemaar ki jald aake khabar aye mere Maseeha der na kar
Jeene ki to shohrat ho na saki marne ka na charcha ho jaaye

Hoon apne watan se door pada koi bhi nahi haami apna
Sab door mere gham ho jaaye tera jo ishara ho jaaye

Hai dil ki yahi hasrat Aaqa Ajmer Ajmer bane madfan apna
Qadmon mein tumhare dam nikle poori ye tamanna ho jaaye

Aye chashme tasawwur jaag zara itna to asar paida kar le
Ajmer ho jab peshe nazar Taiba ka nazara ho jaaye

Dukh dukh ka maara ye Sayyid tujh se na kahe to kis se kahe
Auron ke sahare to hain bohot tu kaash humara ho jaaye

Naat Lyrics in Hindi

ऐ हिन्द के राजा ख़्वाजा पिया एक बार तो ऐसा हो जाए
बातिन की निगाहें खुल जाएँ जल्वों का नज़ारा हो जाए

बीमार की जल्द आके ख़बर ऐ मेरे मसीहा देर ना कर
जीने की तो शोहरत हो ना सकी मरने का ना चर्चा हो जाए

हूँ अपने वतन से दूर पड़ा कोई भी नहीं हामी अपना
सब दूर मेरे ग़म हो जाएँ तेरा जो इशारा हो जाए

है दिल की यही हसरत आक़ा अजमेर अजमेर बने मदफ़न अपना
क़दमों में तुम्हारे दम निकले पूरी ये तमन्ना हो जाए

ऐ चश्मे तसव्वुर जाग ज़रा इतना तो असर पैदा कर ले
अजमेर हो जब पेशे नज़र तैबा का नज़ारा हो जाए

दुख दर्द का मारा ये सय्यद तुझ से ना कहे तो किस से कहे
औरों के सहारे तो हैं बहुत तू काश हमारा हो जाए

Naat Lyrics in Urdu

اے ہند کے راجہ خواجہ پیا ایک بار تو ایسا ہو جائے
باطن کی نگاہیں کھل جائیں جلووں کا نظارہ ہو جائے

بیمار کی جلد آکے خبر اے میرے مسیحا دیر نہ کر
جینے کی تو شہرت ہو نہ سکی مرنے کا نہ چرچا ہو جائے

ہوں اپنے وطن سے دور پڑا کوئی بھی نہیں حامی اپنا
سب دور میرے غم ہو جائیں تیرا جو اشارہ ہو جائے

ہے دل کی یہی حسرت آقا اجمیر اجمیر بنے مدفن اپنا
قدموں میں تمہارے دم نکلے پوری یہ تمنا ہو جائے

اے چشمِ تصور جاگ ذرا اتنا تو اثر پیدا کر لے
اجمیر ہو جب پیشِ نظر طیبہ کا نظارہ ہو جائے

دکھ درد کا مارا یہ سید تجھ سے نہ کہے تو کس سے کہے
اوروں کے سہارے تو ہیں بہت تو کاش ہمارا ہو جائے

Leave a Comment