Zabano qalb ki azmat durud paak se he
Har ek gham me hifazat durud paak se he

Duayen hoti hen maqbul is waseele se
Khuda ki khas inaayat durud paak se he

Azal ke din se mere Mustafa ke charche hen
Tamam dohr pe rehmat dudur paak se he

Me padhta rehta hun sarkar par durud shareef
Kuch esi khas muhabbat durud paak se he

Gham jahan se kabhi saabiqa nahii padta
Mujhe to har ghadi raahat durud paak se he

Baroz hashr wo hoga nabi ki qurbat me
Jahan me jis ko bhi ulfat durud paak se he

Hadees paak se ye baat hogai sabit
Har ek bazm ki zeenat durud paak se he

Nigah qalb se karta he did taiba ki
Jis ummati ko bhi ragbat durud paak se he

Me naat gui se khud ko sanwaar leta hun
Mere kalam ki rifat durud paak se he

Khuda ke baad Muhammad ka naam lete raho
Har ek kaam me barkat durud paak se he

Durud paak hi khaki ka kul asasa he
Ye saari daulat o sarwat durud e paak se he