Mujhpe Bhi Chashme Karam Lyrics

Mujhpe Bhi Chashme Karam Lyrics

 

 

MUJH PE BHI CHASHME KARAM AYE MERE AAQA KARNA NAAT LYRICS

Mujh pe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna

Haq toh mera bhi hai rehmat ka takaaza karna

 

Tu kisi ko uthata nahi apne dar se

Ke teri shaan ke shaaya nahi aisa karna

 

Mai hu bekas ke tera shewa hai sahara dena

Mai hu beemaar tera kaam hai achcha karna

 

Mai ke zarra hu mujhe wusate sahara dede

Ke tere bas me hai katre ko bhi darya karna

 

Yeh tera kaam hai aye Aamina ke Durr e Yateem

Saari ummat ki shafa’at tanha tanha karna

 

Chaand ki tarha tere gird woh taaro ka hujoom

Woh tera halqaye ashaab me baitha karna

 

Mujh pe mehshar me Naseer unki nazar padh hi gayi

Kehne waale isse kehte hai Khuda ka karna

Sharing Is Caring:

Leave a Comment