Nazar ki pyaas tumhara jamal hai aaqa – Naat Lyrics
giza e rooh tumhara khayal hai aaqa
nazar ki pyaas tumhara jamal hai aaqa
ye aasma’n pe jo badr e muneer dikhta hai
tumhaare hushn pe adna sa daal hai aaqa
azeem khud jise rabbe azeem kahta hai
wo khulq aapka aali khesaal hai aaqa
nazaa ke waqt rukh e noor pesh ho jaye
tere gulam ka itna sawal hai aaqa
har ek mrz me yaksa’n asar lutaata hai
luaab e paak me kitna kamal hai aaqa
agarche jism madeene se fasl rakhta hai
dilam ko fir bhi mayassar visal hai aaqa
tumhare naksh e kadam se nigaah feri hai
isiliye to hamara zawaal hai aaqa
zbaa’n pe kissa e gamnaak laaye kyo fayyaz
ayaa’n hai aap pe jo dil ka haal hai aaqa
- Mohammad Fayyaz Misbahi
نظر کی پیاس تمہارا جمال ہے آ قا
غذائے روح تمہارا خیال ہے آقا
نظر کی پیاس تمہارا جمال ہے آقا
یہ آسماں پہ جو بدر منیر دکھتا ہے
تمہارے حسن پہ ادنیٰ سا دال ہے آقا
عظیم خود جسے رب عظیم کہتا ہے
وہ خُلق آپ کا عالی خصال ہے آقا
نزع کے وقت ر خ نور پیش ہو جائے
تیرے غلام کا اتنا سوال ہے آقا
ہر ایک مرض میں یکساں اثر لٹاتا ہے
لعاب پاک میں کتنا کمال ہے آقا
اگرچہ جسم مدینے سے فصل رکھتا ہے
دلم کو پھر بھی میسر وصال ہے آقا
تمہارے نقش قدم سے نگاہ پھیری ہے
اسی لیے تو ہمارا زوال ہے آقا
زباں پہ قصہء غم ناک لا ئے کیوں فیاض
عیاں ہیں آپ پہ جو دل کا حال ہے آقا
محمّد فیاض رضوی الہ آبادی
nazaa ke waqt rukh e noor pesh ho jaye
tere gulam ka itna sawal hai aaqa
Is Shair Mein Adab Ko Malhooz Rakha Jaye Shukriya Ghulam Ki Itnai Auqat Nahi Hai Rukhay Anwar Paish Ho Is K Samnay Astaghfir ULLAH
Is me galat kya hai? yeh to hamara imaan hai ke qabr me huzur ka deedar hoga. ma taquloo fi haqqi hajar rajool