Ik Charagah Hari Bhari Thi Kahin Lyrics
Aik Gaye Aur Bakri
(Makhooz)
Bachon Ke Liye
Ek Charagah Heri Bheri Thi Kahin
Thi Sarapa Bhar Jis Ki Zameen
Kya Saman Uss Bahar Ka Ho Bayan
Her Taraf Saaf Nadiyan Thin Rawan
Thay Anaron Ke Be-Shumar Darakht
Aur Peepal Ke Sayadar Darakht
Thandi Thandi Hawayen Aati Thin
Taeron Ki Sadaen Aati Thin
Kisi Nadi Ke Paas Ek Bakri
Charte Charte Kahin Se Aa Nikli
Jab Theher Ker Idhar Udhar Dekha
Paas Ek Gaye Ko Khare Paya
Pehle Jhuk Ker Ussay Salam Kiya
Phir Salike Se Yun Kalam Kiya
Kyun Bari Bi! Mazaj Kaise Hain
Gaye Boli Ke Khair Ache Hain
Kat Rahi Hai Buri Bhali Apni
Hai Musibat Mein Zindagi Apni
Jaan Par Aa Bani Hai, Kya Kahiye
Apni Kismat Buri Hai, Kya Kahiye
Dekhti Hun Khuda Ki Shaan Ko Mein
Ro Rahi Hun Buron Ke Jaan Ko Mein
Zor Chalta Nahin Gareebon Ka
Pesh Aaya Likha Naseebon Ka
Aadmi Se Koi Bhala Na Kare
Uss Se Pala Pare, Khuda Na Kare
Doodh Kam Dun To Barbarata Hai
Hun Jo Dubli To Bach Khata Hai
Hathkandon Se Ghulam Karta Hai
Kin Farebon Se Raam Karta Hai
Uss Ke Bachon Ko Palti Hun Mein
Doodh Se Jaan Dalti Hun Mein
Badle Naiki Ke Ye Burai Hai
Mere Allah! Teri Duhayi Hai
Sun Ke Bakri Ye Majra Sara
Boli, Aesa Gila Nain Acha
Baat Sachi Hai Be-Maza Lagti
Mein Kahun Gi Magar Khuda Lagti
Ye Charagah, Ye Thandi Thandi Hawa
Ye Hari Ghaas Aur Ye Saya
Aesi Khushiyan Humain Naseeb Kahan
Ye Kahan, Be-Zuban Gareeb Kahan!
Ye Maze Aadmi Ke Dam Se Hain
Lutf Sare Ussi Ke Dam Se Hain
Uss Ke Dam Se Hai Apni Aabadi
Qaid Hum Ko Bhali Ke Azadi!
So Tarah Ka Hai Banon Mein Hai Khatka
Wan Ki Guzaran Se Bachaye Khuda
Hum Pe Ehsan Hai Bara Uss Ka
Hum Ko Zaiba Nahin Gila Uss Ka
Qadar Aaram Ki Ager Samjho
Aadmi Ka Kabhi Gila Na Karo
Gaye Sun Ker Ye Baat Shermayi
Aadmi Ke Gile Se Pachtai
Dil Mein Perkha Bhala Bura Uss Ne
Aur Kuch Soch Ker Kaha Uss Ne
Yun To Chotti Hai Zaat Bakri Ki
Dil Ko Lagti Hai Baat Bakri Ki