Bazm e Konain Sajanain Kay liye Lyrics || Barkate Raza

Yeh behad khoobsoorat aur dilkash naat e paak hamare pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam ki shaan e aqdas mein likhi gayi hai. Is naat shareef ko parh kar aur sun kar dilon ko ajeeb sukoon aur roohaniyat milti hai. Aaiye is muqaddas kalaam ko parhein aur apne dilon ko ishq e rasool se munawwar karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleBazm E Konain Sajanain Kay Liye
Poet / WriterUnknown
CategoryNaat
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Bazm E Konain Sajanain Kay Liye Lyrics In Roman

Bazm-E-Konain Sajanain Kay Liyay Aap Aeye
Sham-E-Toheed Jalaanain Kay Liyay Aap Aeye

Aik Pegham Jo Har Dil Main Ujala Kar Day
Saaree Dunya Ko Sunanain Kay Liyay Aap Aeye

Aik Mudat Sey Battaktay Huway Insano Ko
Aik Markaz Pey Bulanain Kay Liyay Aap Aeye

Na Khuda Ban Kay Obaltay Huway Toofaanon Main
Kashtiyan Paar Lagane Kay Liyay Aap Aeye

Qafilay Wale Batak Jaeyn Na Manzil Sey Kaheen
Door Tak Raha Dekanain Kay Liyay Aap Aeye

Chashm-E-Beydaar Ko Asraar Khudaee Bakhshay
Sonay Walon Ko Jaganain Kay Liyay Aap Aeye

Bazm E Konain Sajanain Kay Liye Lyrics In Hindi

बज़्म-ए-कौनैन सजाने के लिए आप आए
शम-ए-तौहीद जलाने के लिए आप आए

एक पैग़ाम जो हर दिल में उजाला कर दे
सारी दुनिया को सुनाने के लिए आप आए

एक मुद्दत से भटकते हुए इंसानों को
एक मरकज़ पे बुलाने के लिए आप आए

नाख़ुदा बन के उबलते हुए तूफ़ानों में
कश्तियां पार लगाने के लिए आप आए

क़ाफ़िले वाले भटक जाएं ना मंज़िल से कहीं
दूर तक राह दिखाने के लिए आप आए

चश्म-ए-बेदार को असरार ख़ुदाई बख्शे
सोने वालों को जगाने के लिए आप आए

Bazm E Konain Sajanain Kay Liye Lyrics In Urdu

بزمِ کونین سجانے کے لئے آپ آئے
شمعِ توحید جلانے کے لئے آپ آئے

ایک پیغام جو ہر دل میں اجالا کر دے
ساری دنیا کو سنانے کے لئے آپ آئے

ایک مدت سے بھٹکتے ہوئے انسانوں کو
ایک مرکز پہ بلانے کے لئے آپ آئے

ناخدا بن کے ابلتے ہوئے طوفانوں میں
کشتیاں پار لگانے کے لئے آپ آئے

قافلے والے بھٹک جائیں نہ منزل سے کہیں
دور تک راہ دکھانے کے لئے آپ آئے

چشمِ بیدار کو اسرارِ خدائی بخشے
سونے والوں کو جگانے کے لئے آپ آئے

Leave a Comment