Nabi Ka Naam Hai Har Jaa Khuda Ke Naam Ke Baad Naat Lyrics

 

 

Shayar: मुहिद्दिसे आज़में हिन्द | Naat e Paak

 

नबी का नाम है हर जा खुदा के नाम के बाद

कहीं दुरुद के पहले कहीं सलाम के बाद

Nabi Ka Naam Hai Har Jaa Khuda Ke Naam Ke Baad

Kahin Durood Ke Pahle Kahin Salam Ke Baad

 

 

नबी हैं सारे नबी पर शहे अनाम के बाद

कि दाना दाना है तस्बीह का इमाम के बाद

Nabi Hein Saare Nabi Par Shahe Anaam Ke Baad

Ki Dana Dana Hai Tasbeeh Ka Im’aam Ke Baad

 

 

उसी में नफ़ा है जो काम हो निज़ाम के बाद

बचत की होती है उम्मीद इन्तेजाम के बाद

Usi Me Nafa Hai Jo Kaam Ho Nizaam Ke Baad

Bachat Ki Hoti Hai Ummid Intejaam Ke Baad

 

 

वह महवियत है किसी लब के ख्वाबे शीरी में

कि उठ्ठूं क़ब्र से महशर के इख़्तेताम के बाद

Wah Mahwiyat Hai Kisi Lab Ke Khwab-E-Shiri Me

Ki Uththu(N) Qabr Mahshar Ke Ikhtetaam Ke Baad

 

 

हटाया यार ने रोज़े अलस्त ही पर्दा

हिजाब रह नहीं जाता है इज़्ने आम के बाद

Hataya Yaar Ne Roze Alast Hee Parda

Hijaab Rah Nhi Jata Hai Izne Aam Ke Baad

 

 

न वह मिठास किसी में न वह अदाए लत़ीफ़

कलाम किस का नहीं आपके कलाम के बाद

Na Wah Mithaas Kisi Me Na Woh Ada-e- Lateef

Kalam Kis Ka Nahi Aapke Kalam Ke Baad

 

 

चलो तो कूचए जानां की सैर को सय्यिद

मक़ाम मिलता ही रहता है हर मक़ाम के बाद

Chalo To Koocha-E-Jana(N) Ki Sair Ko Sayyad

Maqaam Milta Hee Rahta Hai Har Maqaam Ke Baad

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: