Chaman Ke Mast Nazaare Salam Kehte Hain Lyrics || Barkate Raza

Hazrat Mohammad ﷺ Ki Shaan-E-Aqdas Mein Parha Jane Wala Yeh Nihayat Hi Haseen Aur Ruhani Salato Salaam Dilo Ko Ishq-E-Rasool ﷺ Se Sarshaar Karta Hai.
Is Barkat Bhari Tehreer Mein Kainaat Ki Har Naimat Aur Nazaaron Ki Taraf Se Bargah-E-Risalat Mein Aqeedat Ke Nazrane Pesh Kiye Gaye Hain.
Aiye Is Muqaddas Salaam Ko Dil Ki Gehraiyon Se Parhein Aur Shaan-E-Mustafa ﷺ Ki Barkatain Hasil Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleChaman Ke Mast Nazaare Salam Kehte Hain
Poet / WriterTraditional
CategorySalato Salaam
Naatkhawan / ReciterAlhaj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Chaman Ke Mast Nazaare Salam Kehte Hain Lyrics In Roman

Chaman Ke Mast Nazaare Salam Kehte Hain
Falak Ke Chand Sitaare Salaam Kehte Hain

Tumhari Zaate Giraami Se Jo Mile Hum Ko
Wahi Haseen Sahaare Salaam Kehte Hain

Zara Idhar Bhi Nigaahe Karam Ki Ek Jumbish
Ke Tum Ko Dard Ke Maare Salaam Kehte Hain

Zahe Naseeb Madina Bhi Aaj Peshe Nazar
Nigaah Wa Qalb Humare Salaam Kehte Hain

Kabhi Zabaan Pe Salle ‘Ala Ke Nagme Hain
Kabhi Khamosh Ishaare Salaam Kehte Hain

Tumhare Chaand Se Rukh Ki Hai Jot Aalam Mein
Seher Mein Noor Ke Dhaare Salaam Kehte Hain

Tumhara Zikr Hua Kainaat Wajd Mein Hai
Jo Hain Ghulaam Tumhare Salaam Kehte Hain

Baras Rahi Hai Ghataaon Ki Shakl Mein Rehmat
Jinaa(N) Badosh Nazaare Salaam Kehte Hain

Ataa Ho Dil Ki Sadaa Ko Qubooliyat Ka Sharaf
Adab Se Aankh Ke Taare Salam Kehte Hain

Khuda Ne Tum Ko Banaya Hai Maalike Kaunain
Jahaan Ke Raaj Dulhare Salam Kehte Hain

Zahe Naseeb Ke Taiba Ke Reh Guzaaron Ko
Hum Aise Dard Ke Maare Salam Kehte Hain

Naseem Khake Dare Mustafa Ko Kya Kahiye
Ke Isko Chaand Sitaare Salaam Kehte Hain

Chaman Ke Mast Nazaare Salam Kehte Hain Lyrics In Hindi

चमन के मस्त नज़ारे सलाम कहते हैं
फ़लक के चाँद सितारे सलाम कहते हैं

तुम्हारी ज़ात-ए-गिरामी से जो मिले हम को
वही हसीन सहारे सलाम कहते हैं

ज़रा इधर भी निगाह-ए-करम की एक जुम्बिश
कि तुम को दर्द के मारे सलाम कहते हैं

ज़हे नसीब मदीना भी आज पेश-ए-नज़र
निगाह व क़ल्ब हमारे सलाम कहते हैं

कभी ज़बाँ पे सल्ले ‘अला के नग़्मे हैं
कभी ख़ामोश इशारे सलाम कहते हैं

तुम्हारे चाँद से रुख़ की है जोत आलम में
सहर मेंूर के धारे सलाम कहते हैं

तुम्हारा ज़िक्र हुआ कायनात वज्द में है
जो हैं ग़ुलाम तुम्हारे सलाम कहते हैं

बरस रही है घटाओं की शक्ल में रहमत
जिनाँ बदोश नज़ारे सलाम कहते हैं

अता हो दिल की सदा को क़ुबूलियत का शराफ़
अदब से आँख के तारे सलाम कहते हैं

ख़ुदा ने तुम को बनाया है मालिक-ए-कौनैन
जहाँ के राज दुलारे सलाम कहते हैं

ज़हे नसीब कि तैबा के रह-गुज़ारों को
हम ऐसे दर्द के मारे सलाम कहते हैं

नसीम ख़ाक-ए-दर-ए-मुस्तफ़ा को क्या कहिए
कि इसको चाँद सितारे सलाम कहते हैं

Chaman Ke Mast Nazaare Salam Kehte Hain Lyrics In Urdu

چمن کے مست نظارے سلام کہتے ہیں
فلک کے چاند ستارے سلام کہتے ہیں

تمہاری ذاتِ گرامی سے جو ملے ہم کو
وہی حسین سہارے سلام کہتے ہیں

ذرا ادھر بھی نگاہِ کرم کی ایک جنبش
کہ تم کو درد کے مارے سلام کہتے ہیں

ذہے نصیب مدینہ بھی آج پیشِ نظر
نگاہ و قلب ہمارے سلام کہتے ہیں

کبھی زباں پہ صلِّ علیٰ کے نغمے ہیں
کبھی خاموش اشارے سلام کہتے ہیں

تمہارے چاند سے رخ کی ہے جوت عالم میں
سحر میں نور کے دھارے سلام کہتے ہیں

تمہارا ذکر ہوا کائنات وجد میں ہے
جو ہیں غلام تمہارے سلام کہتے ہیں

برس رہی ہے گھٹاؤں کی شکل میں رحمت
جناں بدوش نظارے سلام کہتے ہیں

عطا ہو دل کی صدا کو قبولیت کا شرف
ادب سے آنکھ کے تارے سلام کہتے ہیں

خدا نے تم کو بنایا ہے مالکِ کونین
جہاں کے راج دُلارے سلام کہتے ہیں

ذہے نصیب کہ طیبہ کے رہ گزاروں کو
ہم ایسے دھر دکے مارے سلام کہتے ہیں

نسیم خاکِ درِ مصطفیٰ کو کیا کہیے
کہ اس کو چاند ستارے سلام کہتے ہیں

Leave a Comment