RewriteEngine On RewriteCond %{HTTP_HOST} ^barkateraza\.com$ [NC] RewriteRule ^( .* )$ https://www.barkateraza.in/$1[L,R=301,NC]

Hazrat Khwaja Abu Ali Shafeeq al-Balkhi Biography

Hazrat Khwaja Abu Ali Shafeeq al-Balkhi Biography

 

 

Hazrat Khwaja Abu Ali Shafeeq al-Balkhi rahmatullāhi alaihi :

 

Aap ki wilaadat Balkh me hui.
********************
Aap ke waalid ka naam Ibrāheem al-Azdi hai.
********************
Ek martaba Aap tijaarat ke liye safar kar rahe the. Aap Turkstan pahunche to waha but-parast ko but ki pooja karte dekha. Aap ne un se farmaaya “Hamara khaaliq woh hai jo Qayyoom [hamesha zinda rehne waala], qaadir e mutlaq aur Razzaaq hai. Us ki hi ibaadat karo. Is but ki ibaadat kyun karte ho jis se hume na koi nafa hota hai na koi nuqsaan.” Us shakhs ne kaha “Agar jaisa tum kehte ho waisa hi hai to woh tumhe tumhare mulk me bhi rizq pahuncha sakta hai. Tumhe safar karke itna door aane ki kya zaroorat hai.” Yeh sunkar Aap apne watan Balkh ki taraf waapas safar karne lage.
Raaste me ek Majoosi mila. Us ne Aap se puchha “Tum kya karte ho?” Aap ne kaha “Tijaarat.” Us ne kaha “Agar tum us Rizq ke talaash karte rahoge jo tumhari qismat me nahi hai to wo hkabhi bhi nahi milega aur jo rizq muqarrar hai woh to tumhe kisi bhi maqaam par mil jaayega.”
Yeh sunkar Aap ke dil se dunyaawi cheezo ki mohabbat door ho gai aur Aap Balkh waapas aakar wahi sukoonat pazeer ho gaye.
********************
Ek martaba Balkh ke shehzaade Ali bin Eisā ka ek shikaari kutta gum ho gaya. Shehzaade ke sipaahiyo ne Aap ke padosi par chori ka ilzaam lagakar use giraftaar kar liya aur use maarte hue darbaar me le jaane lage. Aap ko dekhkar us shakhs ne bachaane ke liye iltija ki. Aap ko raham aaya. Aap darbaar me gaye aur farmaaya “Mere dost ko chhod do. Mujhe 3 din ka waqt do, in shaa Allāh main us kutte ko dhundhkar tumhare hawaale kar dunga.” Shehzaade ne Aap ke dost ko riha kar diya.
Teesre din wo kutta ek shakhs ko mila. Us ne socha ke “Main is kutte ko Shafeeq ke paas le jaata hu. Shaayad is ke badle mujhe kuchh maal mil jaaye.” Is tarah Aap woh kutta lekar darbaar me aaye aur apna waada pura kiya.
********************
Is ke baad Aap ne Hazrat Sultaan Ibrāheem bin Ad’ham al-Balkhi rahmatullāhi alaihi ki sohbat me Tareeqat wa Sulook ki ta’aleem haasil ki.
Aur kaṡeer ta’adaada me Mashai’kh se Shariat wa Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
********************
Ek martaba Shahere Balkh me qahet-saali ho gai. Aap ne bazaar me ek ghulaam ko bahot khush dekhkar puchha ke “Log qahet se barbaad ho gae he aur tu is qadr khush nazar aata hai?” Us ne jawaab diya ke “Mere Aaqa ke yaha bahot galla (anaaj) maujood hai aur woh mujhe kabhi bhuka na rakhega.”
Aap ne ALLAH ta’ala se arz kiya “Aye ALLĀH! Jab ek Ghulaam ko apne aaqa par is qadr aitemaad hai to teri zaat par main kyu aitemaad na karu jab ke tu to Maalik-ul-mulk hai.”
Is ke baad Aap ne Dunya se kinaara-kashi ikhtiyaar kar li. Hatta ke Aap Tawakkul me me’araaje kamaal tak pahunch gaye. Aap akṡar farmaaya karte the ke “Mera Ustaad to ek Ghulaam hai.”
********************
Ek martaba Aap wa’az farma rahe the. Khabar mili ke shaher par kaafiro ne hamla kar diya hai. Aap foran shaher ke darwaaze ki taraf gaye aur dushmano ka muqaabala karke unhe bhaga diye. Aap jab waapas aaye to Aap ke kisi shaagird ne Aap musalle ke paas gul-dasta rakha tha. Aap ne us gul-daste ko uthaaya aur sooghne lage. Yeh dekhkar kisi ne kaha “Shaher ke darwaaze par lashkar khada hai aur musalmano ke Imaam phool soongh rahe hain.” Yeh sunkar Aap ne framaaya ke “Munaafiq ko phool soonghna dikhaai deta hai magar dushmano ka muqaabala karna dikhaai nahi deta.”
********************
Jab Aap Hajje Baitullāh ada karne ke liye nikle to raaste me Baghdad me Khalifa Hāroon al-Rasheed ne Aap ko apne darbaar me bulaaya.
Jab Aap us ke darbaar me pahunche to Hāroon al-Rasheed ne puchha “Aap Zaahid Shafeeq hain?” Aap ne farmaaya “Main Shafeeq Balkhi hu magar Zaahid nahi hu.”
Hāroon al-Rasheed ne kuchh naseehat ke liye kaha to Aap ne irshaad farmaaya “ALLĀH ta’ala ne tumhe Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki maqaam par bithaaya hai to tum se Sidq ka muzaahira hona chaahiye. ALLĀH ta’ala ne tumhe Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki maqaam par bithaaya hai to tum haq wa baatil me farq karo. ALLĀH ta’ala ne tumhe Hazrate Uṡmaan Ghani Zun-Noorain radiy-Allāhu ta’ala anhu ki maqaam bithaaya hai to Haya aur Karam ko ikhtiyaar karo. Hazrate Ali Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ki maqaam bithaaya hai to tum Ilm wa amal ko apnaao.”
Hāroon al-Rasheed ne kuchh aur naseehat ke liye kaha to Aap ne irshaad farmaaya “ALLĀH ta’ala ne ek saraay [Dozakh] banai hai. Tum us ke darbaan ho. ALLĀH ta’ala ne tumhe 3 cheeze di hai : Maal, Talwaar aur Durra(whip). Un 3 cheezo se logo ko dozakh se door rakho. Zaroorat-mando ko maali imdaad do, Sarkasho ko Durra /Taazyaan se taadib karo, talwaar ke istemaal se mazloomo ko zaalimo se najaat dilaao.”
Hāroon al-Rasheed ne kuchh aur naseehat ke liye kaha to Aap ne irshaad farmaaya “Tum ek chashma ho tumhare Aamil us ki nehre hain. Agar chashma saaf hoga to nehro me bhi paani saaf aayega aur agar chashma hi saaf nahi hoga to nehro me kaise saaf paani aayega?”
Hāroon al-Rasheed ne kuchh aur naseehat ke liye kaha to Aap ne farmaaya ke “Tum tanha kisi registan me jaa rahe ho aur tumhe shiddat se pyaas lage aur jaan bachaane ke liye tumhe ek piyaala paani khareedna pade to kitni qeemat ada karoge?” Hāroon al-Rasheed ne kaha ke “Us paani ke badle main apni aadhi saltanat dekar apni jaan bachaaunga.” Aap ne farmaaya ke “Agar us ke baad ittefaaq se wo paani peshaab rook jaaye aur wo paani peshaab ke zariye baahar na nikle aur tumhe pait me shadeed dard hone lage aur koi shakhs tum se kahe ke is ka ilaaj kar sakta hu magar apni aadhi saltanat deni hogi to tum kya karoge?” Hāroon al-Rasheed ne kaha “Main apni aadhi saltanat use de dunga aur ilaaj karaake apni jaan bachaaunga.” Aap ne farmaaya ke “To phir tum apni saltanat par kaise naaz kar sakte ho jis me se aadhi ek piyaala paani farokht karne ke badle chali jaaye aur aadhi us paani ko baahar nikaalne ke badle chali jaaye.”
Yeh sunkar Hāroon al-Rasheed ro pada aur kaha “Waaqa’i Aap zaahid ho aur sache ho.”
********************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) ALLĀH ta’ala ki Raza-mandi 4 cheezo me hai :
[1] Rizq se Mutmaeen hona,
[2] Har kaam me Ikhlaas,
[3] Shaitaan se Adaawat,
[4] Aakhirat ka toshe me jama karte rehna.
(2) Jis Shaks me 3 cheezen nahi us ko Dozakh se nijaat nahi :
[1] Aman, [2] Khauf, [3] Ijtiraar.
(3) 3 baato par amal kiye baghair faa’ida nahi hota khwaah wo be-shumaar kitaaben padh le :
[1] Dunya se mohabbat na rakhe, Kyun ki yeh musalman ka Ghar nahi.
[2] Shaitaan se dosti na kare, Kyun ki yeh musalman ka Rafeeq nahi.
[3] Kisi ko takleef na de, Kyun ki yeh musalman ka Pesha nahi.
(4) Log 4 cheezo ka daawa karte hain magar un ka amal un ke daawe ke khilaaf hai :
[1] Wo kehte hain ke hum ALLĀH ke bande hain, magar un ke aamal aazaad jaise hain.
[2] Wo kehte hain ALLĀH ta’ala hi hamari Rozi ka kafeel hai magar wo bahot saara maal o daulat jama kar lene ke baad bhi mutmaeen nahi hote.
[3] Wo kehte hain ke Dunya se aakhirat behtar hai magar wo sirf dunya hi ki behtari ke liye koshish karte hain.
[4] Wo kehte hain ke hume ek din zaroor marna padega magar zindagi ka andaaz aisa hai ke goya kabhi marna hi nahi hai.
(5) Sachi Tauba ki alaamat yeh hain ke apne gunaaho aur khataao par roye, Dobaara Gunaah ki taraf jaane se dare, Buri sohbat se door rahe aur Nek logo ki sohbat ikhtiyaar kare.
********************
Aap Hazrat Khwaja Sultaan Ibrāheem bin Ad’ham rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Imaam Sayyed Moosā al-Kaazim rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khalifa Hazrat Khwaja Haatim Asam rahmatullāhi alaihi hain.
********************
Aap ka wisaal 9 Ramazaan 194 Hijri (810 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Khatlon (Tajikistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Shafeeq al-Balkhi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment