Ajmer Chal Ke Dekho Rutba Ali Ke Ghar Ka Lyrics

Ajmer Chal Ke Dekho Rutba Ali Ke Ghar Ka Lyrics

 

Ajmer chal ke dekho rutba ali ke ghar ka

 

Ajmer chal ke dekho rutba ali ke ghar ka
Khwaja luta rahe hain sadqa ali ke ghar ka

अजमेर चल के देखो रुत़बा अली के घर का
ख्वाजा लुटा रहे हैं सदक़ा अली के घर का

 

Sagar ka poora paani aa jayega simat kar
Pahuncha hai leke khadim kaasa ali ke ghar ka

सागर का पूरा पानी आ जाएगा सिमटकर
पहुंचा है लेके खादिम कासा अली के घर का

 

Khwaja se aake bola kalma hamen padhao
Jai paal ne jo dekha jalwa ali ke ghar ka

ख्वाजा से आकर बोला कलमा हमें पढ़ाओ
जयपाल ने जो देखा जल्वा अली के घर का

 

(chhay) 6 maah ka ali bhi maida.n me aa gaya hai
Hai kis qadar bahaadar beta ali ke ghar ka

छ: 6 माह का अली भी मैदां में आ गया है
है किस क़दर बहादुर बेटा अली के घर का

 

Mahshar me pyaas teri kaise bujhe yazeedi
Kousar pe to rahega qabza ali ke ghar ka

महशर में प्यास तेरी कैसे बुझे यज़ीदी
कौसर पे तो रहेगा कब्ज़ा अली के घर का

 

Khwaja luta rahe hain sadqa ali ke ghar ka
Ajmer chal ke dekho rutba ali ke ghar ka

ख्वाजा लुटा रहे हैं सदक़ा अली के घर का
अजमेर चल के देखो रुत़बा अली के घर का

 

Sajde jaha.n me zahid yun to bahut huye hain
Mashhoor hai jaha.n me sajda ali ke ghar ka

सजदे जहां में ज़ाहिद यूं तो बहुत हुए हैं
मशहूर है जहां में सजदा अली के घर का

 

Khwaja luta rahe hain sadqa ali ke ghar ka
Ajmer chal ke dekho rutba ali ke ghar ka

ख्वाजा लुटा रहे हैं सदक़ा अली के घर का
अजमेर चल कर देखो रुत़बा अली के घर का

Manqabat Khwan: Muhammad Azam Raza Tahseeni

Sharing Is Caring:

Leave a Comment