Aqeeqah ka tarika
HADEES ::::: hazrat salman bin aamir zabi رضى الله تعالى عنه se riwayat hai kahte hain keh main ne Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ko farmate suna keh ladke ke saath aqeeqah hai uski taraf se khoon bahao (yani Jaanwar zabah karo) aur us se aziyyat ko door karo yani uska sar mundwa do
(Bukhari)
HADEES ::::: hazrat e umm e kurz رضى الله تعالى عنها se riwayat hai kahti hain main ne Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ko farmate suna keh ladke ki taraf se 2 bakriyaan aur ladki ki taraf se 1 is men harj nahin keh narr ho ya maadah
(Abu daaud / tirmizi / nasai)
HADEES ::::: hazrat e samurah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya ladka apne aqeeqah men girhwi hai 7wen din uski taraf se zabah kiya jaaye aur uska name rakha jaaye aur sar munda jaaye , girhwi hone ka ye matlab hai keh us se poora nafa haasil na hoga jab tak aqeeqah na kiya jaaye aur ba’z ne kaha bachcha ki salamati aur uski nashu numa aur us men achche ausaaf hona aqeeqah ke saath waabistah hain
(Abu daaud / tirmizi / nasai)
HADEES ::::: hazrat ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai kahte hain Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne hazrat e hasan رضى الله تعالى عنه ki taraf se aqeeqah men bakri zabah ki aur ye farmaya keh ay faatima iska sar mundwa do aur baal ke wazan ke barabar chaandi sadqa karo ham ne baalo ka wazan kiya to 1 dirham ya kuchh kam the
(Tirmizi)
HADEES ::::: hazrat e abu raafe’ رضى الله تعالى عنه se riwayat hai kahte hain keh jab hazrat imam e hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما paida huye to main ne dekha huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne unke kaan men wahi azan kahi jo namaz ke liye kahi jaati hai
(Abu daaud)
HADEES ::::: hazrat e asma bint e abi bakar siddiq
رضى الله تعالى عنهما
se riwayat hai kahti hain keh abdullah bin zubair رضى الله تعالى عنهما makkah hi men hijrat se qabl mere pet men the ba’d e hijrat quba men ye paida huye main unko Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ki khidmat men laai aur huzur ki god men unko rakh diya phir huzur ne khujoor mangaai aur chaba kar unke munh men daal di aur unke liye dua e barakat ki
(Bukhari / muslim)
HADEES ::::: hazrat e abdullah bin abbas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya aulaad ka waalid pe ye haq hai keh achha name rakhe aur achha adab sikhaye
(Baihaqi)
HADEES ::::: hazrat e abuddarda رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya keh qiyamat ke din tum ko tumhare name aur tumhare baapo ke name se bulaya jaayega lihaza achhe name rakho
(Abu daaud)
HADEES ::::: hazrat e abdullah bin umar رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya tumhare naamo men Allah تعالى ke nazdeek ziyadah piyare name abdullah o abdurrahman hain
(Muslim)
HADEES ::::: ummul mumineen aaishah siddiqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya achho ke name pe name rakho aur apni haajaten achhe chihra walo se talab karo
(Dailami)
HADEES ::::: hazrat e abu umamah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain jiska ladka paida ho aur oh meri muhabbat aur mere name se barakat haasil karne ke liye uska name muhammad rakhe oh aur uska ladka dono bahisht mem jaayen
(Ibn e asakir)
HADEES ::::: hafiz abu taahir ne anas رضى الله تعالى عنه se riwayat ki keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain roz e qiyamat
2 shakhs rabbul izzat ke huzur khade kiye jaayenge hukm hoga inhen jannat men le jaao arz karenge ilahi ham kis amal par jannat ke qaabil huye ham ne jannat ka koi kaam kiya nahin farmaayega jannat men jaao, halaf kiya hai keh jiska name ahmad ya muhammad ho dozakh men na jaayega
(Bahar e shari’at)
HADEES ::::: huzur aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain keh Allah تعالى ne farmaya nujhe apne izzat o jalaal ki qasam jiska name tumhare name par hoga use azab na dunga
(Abu nuaim)
HADEES ::::: Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain tum men kisi ka kiya nuqsan hai agar uske ghar men 1 muhammad ya 2 muhammad ya 3 muhammad hon
(Ibn e sa’d)
HADEES ::::: hazrat e abdullah ibn e abbas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ke 3 bete hon aur oh unmen se kisi ka name muhammad na rakhe to zaroor jaahil hai
(Tibrani)
HADEES ::::: hazrat e ali رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jab ladke ka name muhammad rakho to uski izzat karo aur majlis men uske liye jagah kushadah karo aur use buraai ki taraf nisbat na karo
(Haakim)
HADEES ::::: hazrat e abu raafe’ رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jab ladke ka name muhammad rakho to use na maaro aur na mahroom karo
(Bazzaz)
HADEES ::::: hazrat e abdullah bin umar رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh hazrat umar رضى الله تعالى عنه ki 1 ladki ka name aasiya (عاصيه) tha huzur ne uska name jameelah rakha
(Muslim)
HADEES ::::: hazrat e aaishah رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم bure naamo ko badal dete
(Tirmizi)
MASAAIL E FIQHIYYAH
MASLAH::: bachcha paida hone ke shukuriye men jo Jaanwar zabah kiya jaata hai us ko aqeeqah kahte hain
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: jab bachcha paida ho to mustahab ye hai keh us ke kaan men azan o iqamat kahi jaaye azan kahne se إنْ شَــاءَاللّــهُ balaayen door ho jaayengi
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: bihtar ye hai keh daahine kaan men 4 martabah azan aur baayen kaan men 3 martabah iqamat kahi jaaye
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: 7wen din uska name rakha jaaye aur uska sar munda jaaye aur sar mundne ke waqt aqeeqah kiya jaaye
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: baalon ko wazan kar ke utni chaandi ya sona sadqa kiya jaaye
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: hindustan men amooman bachcha paida hone par chhatti ki jaati hai, ba’z logo mem is moqe par naajaayez rasmen barti jaati hain maslan aurato ka gana bajana aisi baaton se bachna aur unko chhodna zaroori o laazim hai balkeh musalmaano ko oh karna chahiye jo huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke qaul o fe’l se saabit hai . Aqeeqah se bahut zaaid rusoom men sarf kar dete hain aur aqeeqah nahin karte . Aqeeqah karen to sunnat bhi ada ho jaaye aur mihmano ko khilane ke liye gosht bhi ho jaaye
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: aaj kal logon men yaum e paidaaish (birthday) manane ka bahut zor hai is moqa par bhi bahut si naajaayez rasmen barti jaati hain maslan gana bajana wagairah is khas taqreeb men mom batti jalana, taaliyan baja baja kar english zbaban men mubarakbaad dena ye sab chizen yahoodiyo o nasraaniyo ki rasmen hain hamen in sab se bachna zaroori hai
MASLAH::: yaum e paidaaish (birthday) ke moqa par aisi taqreebaat jo manhiyyaat e shareeyyah se paak hon in men harj nahin maslan mulood shareef ki mahfil buzurgaan e deen ke name eesaal e sawab aur niyaz ki taqseem wagairah balkeh ye chizen baa’is e khair barakat hain aur nek o paakeezah zindagi ke liye nek faal hai
MASLAH::: bachcha ka achcha name rakha jaaye hindustan men bahut logo ke aise name hain jinke kuchh ma’na nahin ya unke bure ma’na hain aise naamo se ihteraaz karen
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: ambiya e kiram
عليه الصلوة و السلام
Ke asmaa e tayiibah aur sahaba o taab’een o buzurgaan e deen ke name par name rkhna bihtar hai ummeed hai keh unki barkat bachche ke shamil haal ho
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: abdullah o abdurrahman bahut achhe name hain magar is zamane men a
ksar dekha jaata hai keh bajaae abdurrahman us shakhs ko bahut se log rahman kahte hain aur gair e khuda ko rahman kahna haraam hai isi tarah abdulkhaliq ko khaliq aur abduma’bud ko ma’bud kahte hain is qism ke namo men aisi naajaayez tarmeem hargiz na ki jaaye isi tarah bahut kasrat se namo men tasgeer ka riwaj hai yani name ko is tarah bigaadte hain jis se hiqaarat nikalti hai aur aise namo men tasgeer hargiz na ki jaaye lihaza jahan ye guman ho keh namo men tasgeer ki jaayegi ye name na rakhen jaayen dosre name rakhe jaayen
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: ba’z asma e ilahiyyah jinka itlaaq gairullah par jaayez hai unke saath name rakhna jaayez hai jaise ali, kabeer, rasheed, badee’
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: aisa name rakhna jiska zikr na quran majeed men aaya Ho na hadeeson men ho na musalmano mem aisa name musta’mal ho is men ulama ko ikhtelaf hai, bihtar ye hai keh na rakhe
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: mara hua bachcha paida ho to uska name rakhne ki haajat nahin bagair name rakhe dafn kar den
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: bachcha paida ho kar mar gaya to dafn se pahle uska name rakha jaaye ladka ho to ladko ka sa aur ladki ho ladkiyo ka sa name rakha jaaye aur maloom na ho saka keh ladka hai ya ladki to aisa name rakha jaaye jo mard o aurat dono ke liye ho sakta ho
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: jo name bure hon unko badal kar achcha name rakhna chahiye hadees men hai qiyamat ke din tum apne aur apne baapon ke name se pukare jaaoge lihaza apne name achhe rakho
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: huzur aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne bure naamo ko badal diya 1 shakhs ka name “asram” tha usko badal kar “zar’ah” rakha aur “aasiya” ( عاصيه) name ko badal kar jameela rakha yasaar, rabaah, aflah, barakat name rakhne se bhi mana farmaya
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: abdul mustafa, abdunnabi, abdurrasool, name rakhna jaayez hai keh is nisbat ki sharaafat maqsood hai aur uboodiyyat ke haqeeqi ma’na yahan maqsood nahin hain . Rahi abd ki izafat gairullah ki taraf ye quran o hadees se saabit hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: aise name jin men tazkiyyah e nafs aur khudsataai nikalti hai unko bhi huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne badal daala “birrah“ ka name zainab rakha aur farmaya apne nafs ka tazkiyyah na karo
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: Shamsuddin, zainuddin, muhiyyuddin, fakhruddin, naseeruddin, sirajuddin, nizamuddin, qutbuddin, wagaiha asma jinke andar khud sataai aur badi zabardast ta’reef paai jati hai nahin rakhne chahiye . Raha ye keh buzurgaan e deen o aimma e saabiqeen ko in namo se yaad kiya jaata hai to ye jaanna chaahiye keh un hazraat ke name ye na the balkeh ye unke alqaab hain keh jab oh hazraat maraatib e aaliya o manaasib e jaleelah par faaiz huye to musalmano ne unko is tarah kaha
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: gulam ahmad, gulam rasool, gulam faarooq, gulam ali, gulam hasan, gulam husain, wagiraha asma jin men ambiya o sahaba o auliya ke namo ki taraf gulam ko izafat kar ke name rakha jaaye ye jaayez hai, is ke adam e jawaz ki koi wajah nahin, ba’z wahabiyya ka in namo ko naajaayez balkeh shirk batana unki bad baatini ki daleel hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: muhammad bakhsh, ahmad bakhsh, nabi bakhsh, peer bakhsh, ali bakhsh, husain bakhsh aur isi qism ke dosre name jin men kisi nabi ya wali ke name ke saath bakhsh ka lafz mila kar rakha gaya ho jaayez hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: gafooruddin, gafoorullah, name rakhna naajaayez kiyon keh gafoor ka ma’na hai mitane wala, Allah تعالى gafoor hai keh oh bando ke gunaah mita deta hai lihaza gagooruddin ke ma’na huye deen ke mitane wala
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: taaha, yaaseen, name bhi na rakhe jaayen keh ye muqatta’aat e quraniya se hai jinke ma’na maloom nahin zaahir ye hai keh ye asmaa e nabi صلى الله تعالى عليه وسلم se hain aur ba’z ulama ise asma e ilahiyyah se kaha . Baharhaal jab ma’na maloom nahin to ho sakta hai keh is ke aise ma’na hon jo huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ya Allah تعالى ke saath khas hon . Aur in namo ke saath muhammad mila kar muhammad
taaha, muhammad yaaseen kahna bhi muman’at ko daf’a na karega
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: muhammad nabi, ahmad nabi, muhammad rasool, ahmad rasool, nabiyuzzaman name rakhna bhi naajaayez hai balkeh ba’z name nabiyyullah bhi suna gaya hai . Gair e nabi ko nabi kahna hargiz hargiz jaayez nahin ho sakta
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: muhammad bada piyara name hai is name ki badi ta’reef hadeeso men aai hai agar tasgeer ka andesha na ho to ye name rakha jaaye aur ek soorat ye hai keh aqeeqah ka ye name ho aur pukarne ke liye koi dosra name tajweez kar liya jaaye aur hindustaan
men aisa bahut hota hai keh ek shakhs ke kai name hote hain is soorat men name ki barakat bhi hogi aur tasgeer se bhi bach jaayenge
(Bahar e shari’at)
TAMBEEH
aaj kal musalmano men aise name raaij ho gaye hain jinka koi matlab nahin yunhi fussaq o fujjar ke name par apne bachcho ka name rakhte hain aise naamo se bhi bachna chahiye aur aisa name rakhna chahiye jo bama’na aur bihtar ho
MASLAH::: aqeeqah ke liye 7waan din bihtar hai aur 7wen din na karen to jab chahen kar sakte hain sunnat ada ho jaayegi
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: Ba’z ne kaha Hai keh 7wen din ya 14wen din ya 21wen din yani 7 din ka lihaz rakha jaaye ye bihtar hai aur yaad na rahe to ye kare keh jis din bachcha paida hua us din ko yaad rakhen us se 1 din pahle wala din jab aaye to oh 7waan din hoga . Maslan juma ko paida hua to jumeraat 7waan din aur saneechar ko paida hua to juma 7waan din hoga . Pahli soorat men jis jumeraat ko aur dosri soorat men jis juma ko aqeeqah karega us men 7wen din ka hisaab zaroor aayega
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: ladke ke aqeeqah men 2 bakre aur ladki men 1 bakri zabah ki jaaye ladke men narr Jaanwar aur ladki men maadah munasib hai aur ladke ke aqeeqah men bakriyaan aur ladki men bakra kiya jab bhi harj nahin
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: aqeeqah men gaaye zabah ki jaaye to ladke ke liye 2 aur ladki ke liye 1 hissa kaafi hai yani 7 hisso men 2 hisse ya 1 hissa
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: gaaye ki Qurbaani hui us men aqeeqah ki shirkat ho sakti hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: bachcha ka sar mundne ke ba’d sar par za’fraan pees kar laga dena bihtar hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: aqeeqah ka Jaanwar unhi sharaait ke saath hona chahiye jaisa Qurbaani ke liye hota hai us ka gosht fuqara aur azeez o qareeb o dost o ahbaab ko kachcha taqseem kar diya jaaye ya paka kar diya jaaye ya unko bataur ziyaafat o dawat khila jaaye ye sab sooraten jaayez hain
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: bihtar ye hai keh uski haddi na todi jaaye balkeh haddiyo par se gosht utaar liya jaaye ye bachcha ki salamati ki nek faal hai aur haddi tod kar gosht banaya jaaye is men bhi harj nahin
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: gosht ko jis tarah chahen paka sakte hain magar meetha pakaya jaaye to bachcha ke akhlaaq achhe hone ki faal hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: ba’z ka ye qaul hai keh siri paaye hajaam ko aur 1 raan daai ko den baaqi gosht ke 3 hisse karen, 1 hissa fuqara ka 1 ahbaab ka aur 1 hissa ghar wale khaayen
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: kul gosht ghar ke liye rakh liya to is men bhi harj nahin
MASLAH::: awam men ye bahut mashhoor hai keh aqeeqah ka gosht bachche ke maan baap, dadi, dada, nani, nana na khayen , ye mahaz galat hai iska koi suboot nahin
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: ladke ke aqeeqah men 2 bakriyo ki jagah 1 hi bakri kisi ne ki to ye bhi jaayez hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: ba’z log shadi wagairah ke moqa par gaaye ya bakriyaan gosht ke liye zabah karte hain to us men aqeeqah ki niyyat bhi kar lete hain is men harj nahin aur jin logo ki taraf se aqeeqah kiya unki taraf se aqeeqah ki sunnat ada ho jaayegi
MASLAH::: khaal ka wahi hukm hai jo Qurbaani ki khaal ka hai apne sarf mem laaye ya masakeen ko de ya kisi aur nek kaam masjid ya madarsa men sarf kare
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: aqeeqah men Jaanwar zabah karte waqt ek dua padhi jaati hai use padh sakte hain aur yaad na ho to bagair padhe bhi zabah karne aqeeqah ho jaayega
(Bahar e shari’at)
DUAA E AQEEQAH
Ladke ki dua
“اَللّٰهُمَّ هٰذِهِ عَقِيْقَةُ ابْنِىْ فُلَاں”
( fulaan ki jagah bete ka name le agar dosre ka ladka ho to ibni fulaan ki jagah ladke aur us ke baap ka name le)
دَمُهَا بِدَمِهِ وَ لَحْمُهَا بِلَحْمِهِ وَ شَحْمُهَا بِشَحْمِهِ وَ عَظْمُهَا بِعَظْمِهِ وَ جِلْدُهَا بِجِلْدِهِ وَ شَعْرُهَا بِشَعْرِهِ اَللّٰهُمَّ اجْعَلْهَا فِدَاءً لِّابْنِى فلاں
(Is jagah bhi fulaan ki bajaaye bete ka name le aur agar dosre ka aqeeqah kare to “لِ” ke ba’d uska aur uske baap ka name le)
مِنَ النَّارِ وَ تَقَبَّلْهَا مِنْهُ كَمَا تَقَبَّلْتَهَا مِنْ نَبِيِّكَ الْمُصْطَفٰى وَ حَبِيْبِكَ الْمُجْتَبٰى عَلَيْهِ التَّحِيَّةُ وَالثَّنَاء إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر
Kah kar zabah kar de
LADKI KI DUA
“اَللّٰهُمَّ هٰذِهِ عَقِيْقَةُ بْنِتِىْ فُلَانه”
( fulaanah ki jagah apni beti ka name le agar dosre ki ladki ka aqeeqah kare to binti fulaanah ki jagah ladki aur us ke baap ka name le)
دَمُهَا بِدَمِهَا وَ لَحْمُهَا بِلَحْمِهَا وَ شَحْمُهَا بِشَحْمِهَا وَ عَظْمُهَا بِعَظْمِها وَ جِلْدُهَا بِجِلْدِهَا وَ شَعْرُهَا بِشَعْرِهَا اَللّٰهُمَّ اجْعَلْهَا فِدَاءً لِّبِنِْتى فلانه
( is jagah bhi fulanah ki bajaaye beti ka name le aur agar dosre ki ladki ka aqeeqah kare to “لِ” ke ba’d ladki aur us ke baap ka name le)
مِنَ النَّارِ وَ تَقَبَّلْهَا مِنْهَا كَمَا تَقَبَّلْتَهَا مِنْ نَبِيِّكَ الْمُصْطَفٰى وَ حَبِيْبِكَ الْمُجْتَبٰى عَلَيْهِ التَّحِيَّةُ وَالثَّنَاء إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر
Kah kar zabah kar de
🌹Part 22🌹
TAKBEER TASHREEQ KE MASAAIL
MASLAH::: 9wen zilhijjah ki fajar se 13wen ki asar tak har namaz e panjgaana ke ba’d jo jamat e mustahabbah ke saath ada ki gayi 1 baar takbeer baland aawaaz se kahna wajib hai aur 3 baar afzal
ise takbeer e tashreeq kahte hain oh ye hain
اَللّٰهُ اَكْبَرُ اَللّٰهُ اَكْبَرُ لَا اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَاللّٰهُ اَكْبَرُ اَللّٰهُ اَكْبَرُ وَلِلّٰهِ الْحَمْدُ
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: takbeer e tashreeq salam pherne ke ba’d fauran wajib hai yani jab tak koi aisa fe’l na kiya ho keh us namaz par bina na kar sake agar masjid se baahar ho gaya ya qasdan (jaan boojh kar) wazu tod diya ya kalam kiya agarcheh sahwan to takbeer saaqit ho gayi aur bila qasd wazu toot gaya to kah le
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: takbeer tashreeq us par wajib hai jo shahar men muqeem ho ye jis ne uski iqteda ki
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: Nafl o sunnat o witr ke ba’d takbeer wajib nahin juma ke ba’d wajib hai aur namaz e eid ke ba’d bhi kah le
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: masbooq (jiski rakat chhoot gayi ho ) par takbeer wajib hai magar jab khud salam phere us waqt kahe aur imam ke saath kah li to namaz faasid na hui aur namaz khatm karne ke ba’d takbeer ka i’aadah bhi nahin
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: aur dino men namaz qaza ho gayi thi ayyam e tashreeq men uski qaza padhi to takbeer wajib nahin yunhi in dino ki namazen aur dino men padhi jab bhi wajib nahin
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: munfarid (tanha bagair jamat se namaz padhne wala) par takbeer wajib nahin magar munfarid bhi kah le keh saahibain ke nazdeek us par bhi wajib hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: imam ne takbeer na kaha jab bhi muqtadiyo par wajib hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: aurato par takbeer tashreeq wajib nahin
(Bahar e shari’at)
Isi tarah musafir par bhi wajib nahin
🌹Part 21🌹
EIDAIN KI NAMAZ KA BAYAAN
Allah azza o jalla farmta hai
وَلِتُكْمِلُوا۟ ٱلْعِدَّةَ وَلِتُكَبِّرُوا۟ ٱللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَىٰكُمْ
Rozo ki ginti poori karo aur allah ki badaai bolo keh us ne tumhen hidayat farmaai
2-Al-Baqara : 185
Aur farmata hai
فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَٱنْحَرْ
Apne rab ke liye namaz padh aur Qurbaani kar
108-Al-Kawthar : 2
AHADEES
HADEES ::::: hazarat abu umamah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh Rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain keh jo eidain ki raaton men qiyam (ibadat ) kare uska dil na marega jis din logo ke din marenge
(Ibn e maajah)
HADEES ::::: hazrat buridah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم eidul fitr ke din kuchh kha kar namaz ke liye tashreef le jaate aur eidul azha ko na khate jab tak namaz na padh lete
HADEES ::::: hazrat e abu hurairah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh eid ko ek raaste se tashreef le jaate aur dosre se wapas hote
(Tirmizi/daarimi)
HADEES ::::: hazrat e abdullah bin abbas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh huzur aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne eid ki namaz 2 rakat padhi na us ke qabl namaz padhi aur na us ke ba’d
(Bukhari / muslim)
HADEES ::::: hazrat jaabir bin samurah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai kahte hain main ne huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ke saath eid ki namaz padhi ek do martabah nahin( balkeh baarha )
na azaan hui na iqamat
(Muslim)
MASAAIL E FIQHIYYAH
Eidain ki namaz wajib hai magar sab par nahin balkeh unhi par jin par juma wajib hai aur iski ada ki wahi sharten hain jo juma ke liye hain sirf itna farq hai keh juma men khutba shart hai aur eidain men sunnat agar juma men khutba na padha to juma na hua aur is men na padha to namaz ho gayi magar bura kiya dosra farq ye hai keh juma ka khutba qabl e namza hai aur eidain ka ba’d e namaz agar pahle padh liya to bura kiya magar namaz ho gayi lautaai nahin jaayegi aur khutba ka bhi i’aadah nahin aur eidain men na azan hai na iqamat sirf 2 baar itna kahne ki ijazat hai
اَلصَّلٰوةُ جَامِعَة
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: bila wajah eidain ki namaz chhodna gumrahi o bid’at hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: gaaun me eid ki namaz padhna makrooh tahreemi hai
(Bahar e shari’at)
ROZ E EID KE MUSTAHABBAAT
EID Ke din ye umoor mustahab hain
1) hajamat banwana
2) naakhun tarashwana
3) gusl karna
4) miswak karna
5) achhe kapde pahanna, naya ho to naya warna dhula hua
6) angoothi pahanna
7) khushboo lagana
8) subah ki namaz masjid muhallah men padhna
9) eid gaah jald jaana
10) namaz se pahle sadqa e fitr ada karna
11) eid gaah ko paidal jaana
12) dosre raaste se wapas aana
13) eidul fitr ki namaz ko jaane se peshtar (pahle) chand khujooren kha lena 3, 5, 7, ya kam o besh magar taaq hon, khujooren na hon to koi mithi chiz khaayen, namaz se pahle kuchh na khaya to gunahgaar na hua magar isha tak na khaya to itaab kiya jaayega
14) khushi zaahir karna
15) kasrat se adqa dena
16) eidgaah ko itminaan o waqaar aur neechi nigaah kiye jaana
17) aapas men mubarak baad dena mustahab hai
Aur raaste men baland aawaaz se takbeer na kahe
(Bahar e shari’at)
EIDAIN KI NAMAZ KA WAQT
MASLAH::: namaz ka waqt baqadr e ek nezah aaftaab baland hone se zahw e kubra yani nisfunnihaar shar’ee tak hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: eidul fitr men der karna aur eidul azha men jald padh lena mustahab hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: salam pherne ke pahle zawal ho gaya to namaz jaati rahi
(Bahar e shari’at)