Khaak Suraj Se Andheeron Ka Izaala Hoga Lyrics || Barkate Raza


Yeh Khalid Mehmood Khalid Naqshbandi Ka Nihayat Hi Haseen Aur Roohani Kalam Naat Sharif Hai. Is Kalaam Mein Huzoor Alaihissalam Ki Shaan Aur Rehmat-E-Aqdas Ka Badi Pyari Ada Se Zikr Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Barkat Se Bhare Kalam Ke Haseen Alfaaz Se Apne Dil Ko Roshan Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleKhaak Suraj Se Andheeron Ka Izaala Hoga
Poet / WriterKhalid Mehmood Khalid Naqshbandi
CategoryNaat Lyrics
Naatkhawan / ReciterQari Shahid Mehmood Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Khaak Suraj Se Andheeron Ka Izaala Hoga Lyrics In Roman

Khaak Suraj Se Andheeron Ka Izaala Ho Ga.
Aap Aaey To Mere Ghar Me Ujaala Hoga

Hashr Mein Unka Har Ik Chaahne Waala Hoga
Mere Sarkar Ka Aalam Hi Niraala Hoga

Ishqe Sarkaar (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Ki Ik Shamma Jalaalo Dil Mein
Baad Marne Ke Lahad Mein Bi Ujaala Hoga

Aap Aaye…
Jab Bi Maango To Waseele Se Unhi Ke Maango

Is Waseele Se Karam Our Dubala Hoga
Aap Aye…

Hashr Mein Hoga Wo Sarkaar (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Ke Jande Ke Tale
Meri Sarkaar Ka Jo Chahane Waala Hoga

Aap Aye…
Hashr Mein Usko Bi Seene Se Lagayege Huzoor

Jis Gunahgaar Ko H-Ar E-Ik Ne Tala Hoga
Aap Aye….

Sila-E-Naat-E-Nabi (Salla Llahu ‘Alayhi Wa Sallam) Paunga Jis Din Khalid
Wo Karam Dekh Na Tum Dekhne Waala Hoga

Khaak Suraj Se Andheeron Ka Izaala Hoga Lyrics In Hindi

ख़ाक सूरज से अँधेरों का इज़ाला हो गा।
आप आए तो मेरे घर में उजाला होगा

हश्र में उनका हर इक चाहने वाला होगा
मेरे सरकार का आलम ही निराला होगा

इश्क़-ए-सरकार (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) की इक शमअ जलालो दिल में
बाद मरने के लहद में भी उजाला होगा

आप आए…
जब भी मांगो तो वसीले से उन्हीं के मांगो

इस वसीले से करम और दूबाला होगा
आप आए…

हश्र में होगा वो सरकार (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) के झंडे के तले
मेरी सरकार का जो चाहने वाला होगा

आप आए…
हश्र में उसको भी सीने से लगाएंगे हुज़ूर

जिस गुनहगार को हर एक ने टाला होगा
आप आए….

सिला-ए-नात-ए-नबी (सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम) पाऊंगा जिस दिन ख़ालिद
वो करम देख ना तुम देखने वाला होगा

Khaak Suraj Se Andheeron Ka Izaala Hoga Lyrics In Urdu

خاک سورج سے اندھیروں کا ازالہ ہو گا۔
آپ آئے تو میرے گھر میں اجالا ہو گا

حشر میں ان کا ہر اک چاہنے والا ہو گا
میرے سرکار کا عالم ہی نرالا ہو گا

عشقِ سرکار (صلی اللہ علیہ وسلم) کی اک شمع جلالو دل میں
بعد مرنے کے لحد میں بھی اجالا ہو گا

آپ آئے…
جب بھی مانگو تو وسیلے سے انہی کے مانگو

اس وسیلے سے کرم اور دوبالا ہو گا
آپ آئے…

حشر میں ہو گا وہ سرکار (صلی اللہ علیہ وسلم) کے جھنڈے کے تلے
میری سرکار کا جو چاہنے والا ہو گا

آپ آئے…
حشر میں اس کو بھی سینے سے لگائیں گے حضور

جس گنہگار کو ہر ایک نے ٹالا ہو گا
آپ آئے….

صلہِ نعتِ نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) پاؤں گا جس دن خالد
وہ کرم دیکھ نہ تم دیکھنے والا ہو گا

Leave a Comment