Har Dard Se Chhutkara Dila Dijiye Aaqa Naat Lyrics

Har Dard Se Chhutkara Dila Dijiye Aaqa Naat Lyrics

 

Har Dard Se Chhutkaara Dila Dijiye, Aaqa !
Mujh Ko Bhi Madine Me.N Bula Lijiye, Aaqa !

Wallah, ‘Umar Qatl Ki Niyyat Se Chale The
Dekha To Kaha Kalma Pa.Dha Dijiye, Aaqa !

Ye Kehne Lage Ro Ke Nabi Se ‘Ali Maula
Doobe Hue Sooraj Ko Phira Dijiye, Aaqa !

Ye Saanp Ne Ro Kar Ke Kaha Gaar Ke Andar
Mujh Ko Bhi Zara Chehra Dikha Dijiye, Aaqa !

Sarkaar Ka Dar Dekha To Phir Mere Raza Ne
Ye ‘Arz Kiya Parda Utha Dijiye, Aaqa !

Jo Bugz Rakhe Taaj-E-Sharee’at Se Hamaare
Us Shakhs Ko Mitti Me.N Mila Dijiye, Aaqa !

Bagdaad Ke Jo Kutte Hai.N Shero.N Se Bhi Ba.Dh Kar
Un Kutto.N Ka Kutta Hi Bana Dijiye, Aaqa !

Bad-Kaar Nikamma Hai Agar Noor ‘Ali To
Tayba Me.N Bula Kar Ke Saza Dijiye, Aaqa !

हर दर्द से छुटकारा दिला दीजिए, आक़ा !
मुझ को भी मदीने में बुला लीजिए, आक़ा !

वल्लाह, ‘उमर क़त्ल की निय्यत से चले थे
देखा तो कहा कलमा पढ़ा दीजिए, आक़ा !

ये कहने लगे रो के नबी से ‘अली मौला
डूबे हुए सूरज को फिरा दीजिए, आक़ा !

ये साँप ने रो कर के कहा ग़ार के अंदर
मुझ को भी ज़रा चेहरा दिखा दीजिए, आक़ा !

सरकार का दर देखा तो फिर मेरे रज़ा ने
ये ‘अर्ज़ किया पर्दा उठा दीजिए, आक़ा !

जो बुग़्ज़ रखे ताज-ए-शरी’अत से हमारे
उस शख़्स को मिट्टी में मिला दीजिए, आक़ा !

बग़दाद के जो कुत्ते हैं शेरों से भी बढ़ कर
उन कुत्तों का कुत्ता ही बना दीजिए, आक़ा !

बद-कार निकम्मा है अगर नूर ‘अली तो
तयबा में बुला कर के सज़ा दीजिए, आक़ा !

शायर:
नूर अली नूर कानपुरी

ना’त-ख़्वाँ:
नूर अली नूर कानपुरी

 

 

Surah Yaseen Full In English Text | सूरह यासीन इंग्लिश में

surah yaseen Shareef in hindi | सूरह यासीन शरीफ़ हिन्दी में पढ़ें

Jinnat Ya Jin Kaun Hai

Doodh Peene Ki Dua Arabic & Hindi | दूध पीने की दुआ हिन्दी में

How to Create a Drop-Down List in Excel

The following table explains the main memory storage units

How to Change Language in Excel 2019 for Mac | Microsoft Office for macOS

An English Translation of Kanz ul Iman The Treasure of Faith

10 Best Allah DP Images For WhatsApp & Instagram

Biography on Muballighe-Islam Shah Abdul Aleem Siddiqui

Sharing Is Caring:

Leave a Comment