Hazrat Habibullah Faizi ki likhi hui yeh ek nihayat hi aala, aqeedat-amez aur haqeeqat-pasandana naat-e-pak hai.
Is kalam mein silsila-e-ishq, dar-e-mustafa ki be-misaal sakhawat aur qabr-o-hashr mein sachhe aqeede ki ehmiyat ko nihayat khubsoorat andaz mein bayan kiya gaya hai.
Sufi ragon mein basi is naat ko sun kar aashiqan-e-rasool ke dilon mein nabi-e-kareem ﷺ ki mohabbat ka jazba mazeed pukhta aur buland ho jata hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Batta Darain Ka Kya Kya Nahin Dekha Jata |
| Poet / Writer | Habibullah Faizi |
| Category | Urdu Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Habibullah Faizi |
Naat Lyrics in Roman
Batta Darain Ka Kya Kya Nahin Dekha Jata
Tere Darbar Me Bas La Nahin Dekha Jata
Mar Chuke The Use Bulwa Ke Khilaya Khana
Itne Jabir Ho To Murda Nahin Dekha Jata
Bu-Lahab Naar Me, Jannat Me Bilal-E-Habshi
Aashiqi Me Koi Rishta Nahin Dekha Jata
Poochha Jata Hai Lahad Me Ke Aqeeda Kya Hai
Maathe Pe Sajde Ka Teeka Nahin Dekha Jata
Mustafa Ghoome To Phir Sare Namazi Ghoome
Roo-Ba-Ru Wo Hon To Qibla Nahin Dekha Jata
Chahiye Deed-E-Khuda Ke Liye Chashme Ahmad
Chashm-E-Moosa Se Ye Jalwa Nahin Dekha Jata
Kar Ke Tauheen-E-Nabi Dawat-E-Sajda Zalim
Sunniyon Se Ye Tamasha Nahin Dekha Jata
Faizi Razvi Hun Sanad Hai Ye Meri Bakhshish Ki
Kon Kahta Hai Ke Shajra Nahin Dekha Jata
Naat Lyrics in Hindi
बटता दारैन का क्या क्या नहीं देखा जाता
तेरे दरबार में बस-ला नहीं देखा जाता
मर चुके थे उसे बुलवा के खिलाया खाना
इतने जाबिर हो तो मुर्दा नहीं देखा जाता
बू-लहब नार में, जन्नत में बिलाल-ए-हब्शी
आशिक़ी में कोई रिश्ता नहीं देखा जाता
पूछा जाता है लहद में के अक़ीदा क्या है
माथे पे सजदे का टीका नहीं देखा जाता
मुस्तफ़ा घूमे तो फिर सारे नमाज़ी घूमे
रूबरू वो हों तो क़िबला नहीं देखा जाता
चाहिए दीद-ए-ख़ुदा के लिए चश्मे अह़मद
चश्मे मूसा से ये जल्वा नहीं देखा जाता
करके तौहीन-ए-नबी दावते सजदा ज़ालिम
सुन्नियों से ये तमाशा नहीं देखा जाता
फ़ैज़ी रिज़वी हूँ सनद है ये मेरी बख्शिश की
कौन कहता है कि शजरा नहीं देखा जाता
Naat Lyrics in Urdu
بٹتا دارین کا کیا کیا نہیں دیکھا جاتا
تیرے دربار میں بس لا نہیں دیکھا جاتا
مر چکے تھے اسے بلوا کے کھلایا کھانا
اتنے جابر ہو تو مردہ نہیں دیکھا جاتا
بو لہب نار میں، جنت میں بلالِ حبشی
عاشقی میں کوئی رشتہ نہیں دیکھا جاتا
پوچھا جاتا ہے لحد میں کہ عقیدہ کیا ہے
ماتھے پہ سجدے کا ٹیکا نہیں دیکھا جاتا
مصطفیٰ گھومے تو پھر سارے نمازی گھومے
روبرو وہ ہوں تو قبلہ نہیں دیکھا جاتا
چاہیے دیدِ خدا کے لیے چشمِ احمد
چشمِ موسیٰ سے یہ جلوہ نہیں دیکھا جاتا
کر کے توہینِ نبی دعوتِ سجدہ ظالم
سنیوں سے یہ تماشا نہیں دیکھا جاتا
فیضی رضوی ہوں سند ہے یہ میری بخشش کی
کون کہتا ہے کہ شجرہ نہیں دیکھا جاتا