Muztarib Rakhta Hai Mera Dil-e-Betab Mujhe Lyrics || Barkate Raza


Hakeem-Ul-Ummat Hazrat Allama Muhammad Iqbal Ka Tehreer Karda Yeh Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Falsafiyana Sufiana Kalam Hai. Is Kalam Mein “Mouj-E-Darya” Ke Zariye Dil E Betab Ki Tadap Aur Hasti Ke Haqiqi Maani Ko Bohat Hi Haseen Andaaz Mein Bayan Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Ruhani Kalam Ke Pyare Ash’aar Ko Parhte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleMuztarib Rakhta Hai Mera Dil-e-Betab Mujhe
Poet / WriterAllama Muhammad Iqbal
CategorySufiana Kalam
Naatkhawan / ReciterZia Mohyeddin
Book NameBang-e-Dara

Muztarib Rakhta Hai Mera Dil-e-Betab Mujhe Lyrics In Roman

Muztarib Rakhta Hai Mera Dil-E-Betab Mujhe
Ayn-E-Hasti Hai Tarap Soorat-E-Seemab Mujhe

Mouj Hai Naam Mera, Behar Hai Payab Mujhe
Ho Na Zanjeer Kabhi Halqa-E-Gardab Mujhe

Aab Mein Misl-E-Hawa Jata Hai Tousan Mera
Khar-E-Mahi Se Na Atka Kabhi Daman Mera

Main Uchalti Hun Kabhi Jazb-E-Mah-E-Kamil Se
Josh Mein Sar Ko Patakti Hun Kabhi Sahil Se

Hun Woh Rahru Ke Mohabbat Hai Mujhe Manzil Se
Kyun Tarapti Hun, Ye Puche Koi Mere Dil Se

Zehmat-E-Tangi-E-Darya Se Garezan Hun Main
Wusaat-E-Behr Ki Furqat Mein Preshan Hun Main

Muztarib Rakhta Hai Mera Dil-e-Betab Mujhe Lyrics In Hindi

मुज़्तरिब रखता है मेरा दिल-ए-बेताब मुझे
ऐन-ए-हस्ती है तड़प सूरत-ए-सीमाब मुझे

मौज है नाम मेरा, बहर है पायाब मुझे
हो ना जंज़ीर कभी हल्क़ा-ए-गर्दाब मुझे

आब में मिस्ल-ए-हवा जाता है तौसन मेरा
ख़ार-ए-माही से ना अटका कभी दामन मेरा

मैं उछलती हूँ कभी जज़्ब-ए-माह-ए-कामिल से
जोश में सर को पटकती हूँ कभी साहिल से

हूँ वो रहरू के मोहब्बत है मुझे मँज़िल से
क्यूँ तड़पती हूँ, ये पूछे कोई मेरे दिल से

ज़हमत-ए-तंगी-ए-दरिया से गरेज़ाँ हूँ मैं
वुसअत-ए-बहर की फ़ुरक़त में परेशाँ हूँ मैं

Muztarib Rakhta Hai Mera Dil-e-Betab Mujhe Lyrics In Urdu

مضطرب رکھتا ہے میرا دلِ بیتاب مجھے
عینِ ہستی ہے تڑپ صورتِ سیماب مجھے

موج ہے نام میرا، بحر ہے پایاب مجھے
ہو نہ زنجیر کبھی حلقہء گرداب مجھے

آب میں مثلِ ہوا جاتا ہے توسن میرا
خارِ ماہی سے نہ اٹکا کبھی دامن میرا

میں اچھلتی ہوں کبھی جذبِ ماہِ کامل سے
جوش میں سر کو پٹکتی ہوں کبھی ساحل سے

ہوں وہ رہرو کہ محبت ہے مجھے منزل سے
کیوں تڑپتی ہوں، یہ پوچھے کوئی میرے دل سے

زحمتِ تنگیء دریا سے گریزاں ہوں میں
وسعتِ بحر کی فرقت میں پریشاں ہوں میں

Leave a Comment