Khuda Ne Jis Ke Sar Par Taaj Rak’kha Apni Rahmat Ka Naat Lyrics

Khuda Ne Jis Ke Sar Par Taaj Rak’kha Apni Rahmat Ka Naat Lyrics

 

 

Khuda Ne Jis Ke Sar Par Taaj Rak’kha Apni Rahmat Ka
Durood Us Par Ho Wo Haakim Bana Mulk-e-Risaalat Ka

Upon Whose Head Almighty Allah Placed, The Crown of His Mercy
Durood Upon Him, Who Is The King of Prophethood’s Territory

Wo Maahi Kufr-o-Zulmat, Shirk-o-Bid’aat-o-Dalaalat Ka
Wo Haafiz Apni Millat Ka Wo Naasir Apni Ummat Ka

He Is The Obliterator of Infidelity, Oblivion, Polytheism & Heresy
He Is the Protector of His Nation, He Is The Aid of His Society

Madaawa Kaise Farmaaye Ko-ee Bimaar-e-Furqat Ka
Ke Deedaar-e-Nabi Marham Hai Us Dil Ki Jaraahat Ka

To The One Ill, Yearning For You, How Can Anyone Give Him Any Remedy
For The Ointment of His Wounded Heart, Is To See The Beloved Nabi

Asar Kya Ho Sakega Mahr-e-Mahshar Ki Haraarat Ka
Hamaare Sar Pe Hoga Shaamiyana Un Ki Rahmat Ka

How Can We Be Disturbed On Judgement Day, By The Sun’s Intensity
When Over Our Heads Will Be Draped, The Shade of His Mercy

Kabhi Deedaar-e-Haq Hoga Kabhi Naz’zaara Hazrat Ka
Hameñ Hangaama-e-‘Eidain Hoga Din Qiyaamat Ka

At Times, We Will See Allah’s Vision, And At Times We Will See Your Beauty
On The Day of Judgement, Both Celebrations, We Will Celebrate In Ecstasy

 

Na Kyuñ Ho Aashkaara Tera Jalwa Zar’ra-Zar’ra Meiñ
Shahanshah-e-Madina Tu Hai Partaw Noor-e-Wahdat Ka

In Every Speck, Why Won’t Your Manifestations Be Seen Visibly?
O King of Madina, You Are The Manifestation, of The Light of The Almighty

Dam-e-Aakhir Sar-e-Baaleeñ Khiraam-e-Naaz Farma-o
Khudara Haal Dekho Mubtala-e-Dard-e-Furqat Ka

In My Final Moment, At My Head-side, Appear To Me Gracefully
For Allah’s Sake! As I Am Pining For You, Observe My Agony

Dam-e-Aakhir Sar-e-Baaleeñ Ye Farmaate Huwe Aawo
Na Ghabra Khauf-e-Marqad Se Na Kar Khat’ka Qiyaamat Ka

Appear At My Head-side In My Final Moments, Saying Supportively
Stress Not In Fear of The Grave, About Judgement Day Have No Anxiety

Hameñ Bhi Saath Le Lo Qaafile Waaloñ Zara Thehro
Bahut Mud’dat Se Armaañ Hai Madine Ki Ziyaarat Ka

Wait A While O Travellers! Take Me With You On Your Holy Journey
For A While Now, I Have Been Wishing, Towards Madina To Journey

Meri Aankheñ Madine Ki Ziyaarat Ko Tarasti Haiñ
Chamak Jaaye Ilaahi Ab To Taara Meri Qismat Ka

To Visit And See Madina, My Eyes Are Yearning Restlessly
O Allah! Now Bring To Glow, The Star of My Destiny

Qasam Haq Ki Wo Din ‘Eidain Se Bar’h Kar Maiñ Samjhooñga
Nazar Aayega Jis Din Sabz Gumbad Un Ki Turbat Ka

Greater Than Both Eids, That Day I Will Regard, An Oath By The Almighty
On The Day, When The Green Dome of His Holy Grave is, I Will See Finally

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment