Ada Ki Lai Rahi Hai Arsh Ki Pahlu Nasheen Hokar Lyrics || Barkate Raza

Sufi-e-Ba-Safa, Bedam Shah Warsi Alaihir Rahmah ki qalam se likha gaya yeh ek nihayat hi khoobsurat aur maqbool-e-bar-gah Naat-e-Pak hai. Is kalam me Huzoor Rahmat-ul-Lil-Alameen ﷺ ki bar-gah-e-aqdas me nihayat hi shaistah andaz me aqeedat-o-muhabbat ka nazrana pesh kiya gaya hai. Is pakiza naat ke misre aashiquan-e-rasool ke dilo ko roohani sukoon aur madine ki thandi hawaon ka ehsas dilate hain.

Naat Information Details
Naat Title Ada Ki Lai Rahi Hai Arsh Ki Pahlu Nasheeñ Hokar
Poet / Writer Hazrat Bedam Shah Warsi
Category Naat-e-Rasool-e-Maqbool ﷺ
Naatkhawan / Reciter Multiple Reciters

Naat Lyrics in Roman

Ada ki lai rahi hai arsh ki pahlu nasheen hokar
Zameeñ Rauze ki tere, tere Rauze ki Zameeñ hokar

Raha jo muddatoñ taaj-e-sar-e-arsh-e-bareeñ hokar
Wahi chamka arab mein Noor-e Rabbil Alamiñ ho kar

Muhammad ﷺ sar se paa tak Mazhar e Husn-e ilahi haiñ
Ke aaye dahr mein Tasvir e Soorat aafreeñ ho kar

Kareñ Taz’een, mehruyaan-e aalam ko zarurat hai
Tumheñ kya chaahiye Mahboob e Rabbil Alamiñ ho kar

Muhammad ﷺ sab se pahle hum gunahgaaroñ ko poochheñge
Hameñ woh bhool sakte hain shafiul muznabiñ ho kar !

Hamara kuchh na hona laakh hone ke barabar hai
Chale duniya se hum shaida e Khatm-ul-Murasaliñ ho kar

Hamare sar pe Bedam Zill-e Daamaan-e Muhammad ﷺ Hai
To kya kar lega phir Khurshid e Mahshar khashmgeeñ hokar

Naat Lyrics in Hindi

अदा की लय रही है अर्श की पहलू नशीं होकर
ज़मीं रौज़े की तेरे, तेरे रौज़े की ज़मीं होकर

रहा जो मुद्दतों ताज-ए-सर-ए-अर्श-ए-बरीं होकर
वही चमका अरब में नूर-ए-रब्बुल आलमीं होकर

मुहम्मद ﷺ सर से पा तक मज़हर-ए-हुस्न-ए-इलाही हैं
कि आए दहर में तस्वीर-ए-सूरत आफ़रीं होकर

करें तज़ईन, मेहरूयान-ए-आलम को ज़रूरत है
तुम्हें क्या चाहिए महबूब-ए-रब्बुल आलमीं होकर

मुहम्मद ﷺ सबसे पहले हम गुनहगारों को पूछेंगे
हमें वो भूल सकते हैं शफ़ी-उल-मुज़्नबीं होकर !

हमारा कुछ न होना लाख होने के बराबर है
चले दुनिया से हम शैदा-ए-ख़त्म-उल-मुरसलीं होकर

हमारे सर पे बेदम ज़िल्ल-ए-दाामान-ए-मुहम्मद ﷺ है
तो क्या कर लेगा फिर ख़ुर्शीद-ए-महशर ख़श्मगीं होकर

Naat Lyrics in Urdu

ادا کی لَے رہی ہے عرش کی پہلو نشیں ہو کر
زمیں روضہ کی تیرے، تیرے روضہ کی زمیں ہو کر

رہا جو مدتوں تاجِ سرِ عرشِ بریں ہو کر
وہی چمکا عرب میں نورِ رب العالمیں ہو کر

محمد ﷺ سر سے پا تک مظہرِ حسنِ الٰہی ہیں
کہ آئے دہر میں تصویرِ صورت آفریں ہو کر

کریں تزئین مہرویانِ عالم کو ضرورت ہے
تمہیں کیا چاہیے محبوبِ رب العالمیں ہو کر

محمد ﷺ سب سے پہلے ہم گنہگاروں کو پوچھیں گے
ہمیں وہ بھول سکتے ہیں شفیع المذنبیں ہوکر

ہمارا کچھ نہ ہونا لاکھ ہونے کے برابر ہے
چلے دنیا سے ہم شیدائے ختم المرسلیں ہوکر

ہمارے سر پہ بیدم ظلِ دامانِ محمد ﷺ ہے
تو کیا کر لے گا پھر خورشیدِ محشر خشمگیں ہو کر

Leave a Comment