Koi Mansoor Koi Ban Ke Ghazali Aae Lyrics
Koi Mansoor Koi Ban Ke Gazaali Aae
Un Ke Darbaar Se Ho Kar Jo Sawaali Aae
Ho Mere Bas Men To Main Dil Men Bitha Lun Un Ko
Choom Kar Jo Mere Sarkaar Ki Jaali Aae
Un Ki Rahmat Ko To Ye Baat Gawaara Hi Nahin
Un Ki Chaukhat Pe Koi Jaae To Khaali Aae
Un Ke Altaaf-O-Karam Badh Ke Khareedenge Unhen
Aaj Bhi Le Ke Koi Zauq-E-Bilaali Aae
Un Ka Jalwa To Hai Maujood Yahan Bhi Lekin
Koi Le Kar To Nazar Dekhne Waali Aae
Aankh Kholun To Nazar Gumbad-E-Khazra Pe Pade
Dil Men Jhaankun To Nazar Jalwa-E-‘Aali Aae
Koi Mansoor Koi Ban Ke Ghazali Aae Lyrics
कोई मंसूर, कोई बन के ग़ज़ाली आए
उन के दरबार से हो कर जो सवाली आए
हो मेरे बस में तो मैं दिल में बिठा लूँ उन को
चूम कर जो मेरे सरकार की जाली आए
उन की रहमत को तो ये बात गवारा ही नहीं
उन की चौखट पे कोई जाए तो ख़ाली आए
उन के अल्ताफ़-ओ-करम बढ़ के ख़रीदेंगे उन्हें
आज भी ले के कोई ज़ौक़-ए-बिलाली आए
उन का जल्वा तो है मौजूद यहाँ भी लेकिन
कोई ले कर तो नज़र देखने वाली आए
आँख खोलूँ तो नज़र गुंबद-ए-ख़ज़रा पे पड़े
दिल में झाँकूँ तो नज़र जल्वा-ए-‘आली आए
ना’त-ख़्वाँ:
क़ारी शाहिद महमूद क़ादरी
हाफ़िज़ कामरान क़ादरी