Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do

Chand Se Unke Chehre Par Ghesue Mushk Faam Do
Din Hai Khila Hua Magar Waqte Sahar Hai Sham Do

Talwo Se Unke Chaar Chand Lag Gaye Mahromah Ko
Hai Yeh Unhi Ki Tabishe Aur Hain Unhi Ke Naam Do

Haatho Se Chaar Yaar Ke Hum Ko Milenge Chaar Jaam
Daste Hasan Husain Se Aur Milenge Jaam Do

Unki Jabeen E Naaz Par Zulf E Siyaah Bikhar Gayi
Jam’a Hain Ek Waqt Me Jiddain E Subha Wa Shaam Do

Zaate Hasan Husain Hai Ahle Shabeehe Mustafa
Zaat Hain Ek Nabi Ki Zaat Aur Hain Unhi Ke Naam Do

Ab To Madine Lo Bula Gumbad E Sabz Do Dikha
Haamid O Mustafa Tere Hind Me Hain Ghulaam Do

Kalaam By Hamid Raza Khan Rehmatullah Alaih

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: