Un Ki Jali Wo Sama Aur Wo Rauza Un Ka Lyrics

Un Ki Jali Wo Sama Aur Wo Rauza Un Ka Lyrics

 

उन की जाली, वो समाँ और वो रौज़ा उन का
कितना पुर-नूर है, वल्लाह ! वो कूचा उन का

देख कर गुंबद-ए-ख़ज़रा वो धड़कना दिल का
याद आता है मुझे रोज़ मदीना उन का

हैं अबू-बक्र-ओ-‘उमर और ग़नी, मौला ‘अली
बीच में चारों के बैठा है वो आक़ा उन का

रौज़ा-ए-सय्यिदा-ज़हरा से जो देखा मैं ने
आज तक क़ैद है आँखों में नज़ारा उन का

हो गया नूर से मा’मूर ज़माना सारा
ऐसा चमका था शब-ए-नूर वो चेहरा उन का

दो ही लफ़्ज़ों में बदल डाली ‘उमर की दुनिया
कितना मीठा था ख़ुदा जाने वो लहज़ा उन का

हश्र में आक़ा को मुँह कैसे दिखाएगा ज़लील
मुँह छुपा लेगा सर-ए-हश्र कमीना उन का

हूँ गुनहगार मगर फिर भी भरोसा है मुझे
बख़्शवा लेगा मुझे हश्र में सज्दा उन का

सय्यिदा ही ने तो पाला है शबाहत को जनाब
उन के ही नाम से मशहूर है बेटा उन का

शायर:
सय्यिद शबाहत हुसैन

ना’त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी

 

un ki jaali, wo samaa.n aur wo rauza un ka
kitna pur-noor hai, wallah ! wo koocha un ka

dekh kar gumbad-e-KHazra wo dha.Dakna dil ka
yaad aata hai mujhe roz madina un ka

hai.n abu-bakr-o-‘umar aur Gani, maula ‘ali
beech me.n chaaro.n ke baiTha hai wo aaqa un ka

rauza-e-sayyida-zahra se jo dekha mai.n ne
aaj tak qaid hai aankho.n me.n nazaara un ka

ho gaya noor se maa’moor zamaana saara
aisa chamka tha shab-e-noor wo chehra un ka

do hi lafzo.n me.n badal Daali ‘umar ki duniya
kitna meeTha tha KHuda jaane wo lehza un ka

hashr me.n aaqa ko munh kaise dikhaaega zaleel
munh chhupa lega sar-e-hashr kameena un ka

hu.n gunahgaar magar phir bhi bharosa hai mujhe
baKHshwa lega mujhe hashr me.n sajda un ka

sayyida hi ne to paala hai Shabaahat ko janaab
un ke hi naam se mash.hoor hai beTa un ka

Poet:
Sayyed Shabahat Hussain

Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d