Parh Naad E Ali Lyrics

Parh Naad E Ali Lyrics

 

 

Parh Naad-e-Ali Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
پڑھ نادِعلیؑ
Jis Ne Liya Hai Nam-e-Ali Oss Ki Mushkil Tali.

Mayousiyon Hain Kaisi Dil Kyun Udas Hai.
Aik Waseela Rab Ka Apne Jo Pas Hai.
Ik Mashwara Sun Le Mera Gham Na Hoga Koi.

Dunya Ki Chahat Apne Dil Se Nikal De.
Dil Mein Basa Ossay Jo Gham Tere Taal De.
Tera Nabi ALLAH Bhi Bolay Tujh Se Yehi.

Meri Kashi Paar Laga De Soyi Taqdeer Jaga De.
Tere Ishq Mein Doba Jaon Aisi Barkha Barsa De.

Apna Mera Tere Siwa Koi Nahi Mushkil Kusha.
Mashriq Magrib Makka Our Najaf Bas Tu Hi Tu Hai Chaar Taraf.

Dar Dar Bhatakne Walay Ik Baat Sun Zara.
Nad-e-Ali Se Bahatar Koi Nahi Dawa.
Talay Qaza Bantay Shifa Ik Din Tu Bhi Kabhi.

Ik Baat Keh Doon Tujh Se Kya Tujhey Qabool Hai.
Nad-e-Ali Ko Parhna Sunat-e-Rasool Hai.
Qaul-e-Nabi Hai Bas Yehi Bigri Ban Jaye Gi.

Sare Malang Lagaein Narah Lajpal Ka.
Nobat Baje Tu Aaye Lutf Dhamal Ka.
Lal Sakhi Our Bo Ali Bolein Sab Hi Yehi.

Nad-e-Ali Se Pehle Nad-e-Ali Ke Baad.
Aisa Wazeefa Koi Kya Hai Kissi Ko Yaad.
Maidan-e-Jang Ya Dil Ho Tang Aaye Jo Bhi Ghari.

Ghar Mein Khuda Ke Logo Jis Ka Zahoor Hai.
Kabay Ki Dewaron Ko Oss Ka Shaoor Hai.
Shaq Ho Gayi Dewar Bhi Sun Ke Nam-e-Ali.

Zahra Ko Shohar Ali Ali.
Hai Nafs-e-Payamber Ali Ali.
Hasnain Ka Baba Ali Ali.
Molood-e-Kaba Ali Ali.
Bhatko Tu Sahara Ali Ali.
Dobo Tu Kinara Ali Ali.
Nabiyon Ne Pukara Ali Ali.
Eman Hamara Ali Ali.

Tofan Ke Rukh Par Behta Ja.
Bas Haider Haider Kehta Ja.

Jholay Lal Kehne Walay Maula Ke Sang Hain.
:MEESUM: Ki Tarha :MAZHAR: Ali Ke Malang Hain.
Ta Zindagi Yeh Wird Bhi Hum Na Bholein Kabhi.

Poet: :Mazhar Abidi:
Manqabat Khuwaan: :Mesum Abbas:
Manqabat Volume: :Mesum Abbas 2021-22:
Composition: :Raza Shah:

#ParhNaadeAli
#ManqabatLyrics

Sharing Is Caring:

Leave a Comment