Kis Chiz ki Kami He Maula Teri Gali Mein Naat Lyrics || Barkate Raza

Hazrat Amjad Hyderabadi Alaihirrahmah Ki Likhhi Hui Yeh Behad Pyaari Aur Roohani Hamd-O-Naat Dilon Mein Khuda Aur Uske Habeeb Ki Muhabbat Ko Jagati Hai.
Is Haseen Kalam Ka Ek Ek Sher Bargah-E-Ilaahi Aur Gali-E-Habeeb Se Sacchi Aqeedat Aur Be-Khudi Ka Khoobsurat Saboot Pesh Karta Hai.
Aaiye Is Barkat Bhare Kalam-E-Azeem Ko Nihayat Hi Adab Aur Shauq Ke Saath Mulaiza Farmayein.

Naat Information Details
Naat Title Kis Cheez Ki Kami Hai Maula Teri Gali Mein
Poet / Writer Amjad Hyderabadi
Category Hamd-O-Naat
Naatkhawan / Reciter Owais Raza Qadri
Book Name Barkate Raza Naat Book

Kis Cheez Ki Kami Hai Maula Teri Gali Mein Lyrics In Roman

Kis Cheez Ki Kami Hai Maula Teri Gali Mein,
Duniya Teri Gali Mein, Uqba Teri Gali Mein.

Deewangi Pe Meri Hanste Hain Aql Wale,
Rasta Teri Gali Ka Poocha Teri Gali Mein.

Deewana Kar Diya Hai, Deewana Ho Gaya Hoon,
Dekha Hai Maine Aisa Jalwa Teri Gali Mein.

Maut-O-Hayaat Meri Dono Tere Liye Hai,
Marna Teri Gali Mein, Jeena Teri Gali Mein.

Kis Tarah Paon Rakhe Ya Sahibe Baseerat,
Aankhen Bichi Hui Hain Har Ja Teri Gali Mein.

Suraj Tajalliyon Ka Har Dam Chamak Raha Hai,
Dekha Nahin Kisi Din Saaya Teri Gali Mein.

‘Amjad’ Ko Aaj Tak Hum Adna Samajh Rahe The,
Lekin Maqaam Uska Paya Teri Gali Mein.

Kis Cheez Ki Kami Hai Maula Teri Gali Mein Lyrics In Hindi

किस चीज़ की कमी है मौला तेरी गली में,
दुनिया तेरी गली में, उक़्बा तेरी गली में।

दीवानगी पे मेरी हँसते हैं अक़्ल वाले,
रस्ता तेरी गली का पूछा तेरी गली में।

दीवाना कर दिया है, दीवाना हो गया हूँ,
देखा है मैंने ऐसा जलवा तेरी गली में।

मौत-ओ-हयात मेरी दोनों तेरे लिए है,
मरना तेरी गली में, जीना तेरी गली में।

किस तरह पाँव रखे या साहिबे बसीरत,
आँखें बिछी हुई हैं हर जा तेरी गली में।

सूरज तजल्लियों का हर दम चमक रहा है,
देखा नहीं किसी दिन साया तेरी गली में।

‘अमजद’ को आज तक हम अदना समझ रहे थे,
लेकिन मक़ाम उसका पाया तेरी गली में।

Kis Cheez Ki Kami Hai Maula Teri Gali Mein Lyrics In Urdu

کس چیز کی کمی ہے مولا تیری گلی میں
دنیا تیری گلی میں، عقبیٰ تیری گلی میں

دیوانگی پہ میری ہنستے ہیں عقل والے
رستہ تیری گلی کا پوچھا تیری گلی میں

دیوانہ کر دیا ہے، دیوانہ ہو گیا ہوں
دیکھا ہے میں نے ایسا جلوہ تیری گلی میں

موت و حیات میری دونوں تیرے لیے ہے
مرنا تیری گلی میں، جینا تیری گلی میں

کس طرح پاؤں رکھے یا صاحبِ بصیرت
آنکھیں بچھی ہوئی ہیں ہر جا تیری گلی میں

سورج تجلیوں کا ہر دم چمک رہا ہے
دیکھا نہیں کسی دن سایہ تیری گلی میں

امجدؔ کو آج تک ہم ادنیٰ سمجھ رہے تھے
لیکن مقام اس کا پایا تیری گلی میں

Leave a Comment