Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska Naat Lyrics || Barkate Raza


Sarkar-E-Do-Alam Salla Llahu Alayhi Wa Sallam Ki Bargah-E-Aqdas Mein Pesh Kiya-Gaya Yeh Ek Nihayat Hi Behad Khubsurat Naat-E-Paak Hai. Is Barkat Bhare Kalam Mein Abdul Sattar Niazi Sahab Ne Aamad-E-Mustafa Ki Khushi Aur Fazilat Ko Nihayat Hi Dilkash Andaaz Mein Bayan-Kiya-Gaya-Hai. Aaiye Is Ruhani Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Zabaan Mein Mulahiza Farmayein.

Naat InformationDetails
Naat TitleYe Koun Aaya Ke Ziqr Jiska
Poet / WriterAbdul Sattar Niazi
CategoryUrdu Naat Sharif
Naatkhawan / ReciterZulfiqar Ali Hussaini
Book NameBarkate Raza Naat Book

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska Lyrics In Roman

Jab Mouj Pe Aain Wo Lahren
Qatre Ko Samandar Kar Dala

Ye Unki Shan-E-Karimi Hai
Jise Khali Dekha Bhar Dala

Karam Ke Badal Baras Rahe Hain
Dilon Ki Kheti Hari Bhari Hai

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska
Nagar-Nagar Hai Gali-Gali Hai

Ye Koun Bankar Qaraar Aaya
Ye Kon Jane Bahar Aaya

Gulon Ke Chehre Hain Nikhre-Nikhre
Kali-Kali Me Shaguftgi Hai

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska
Nagar-Nagar Hai Gali-Gali Hai

Diye Dilon Ke Jalaye Rakhna
Nabi Ki Mahfil Sajaye Rakhna

Jo Rahat-E-Dil Sukoon-E-Jaan Hai
Wo Zikr Zikr-E-Muhammadi Hai

Mere Nabi Ki Hai Shaan Bala
Bada Sakhi Hai Madine Wala

Hamen To Jo Kuchh Bhi Mil Raha Hai
Ye Meherbani Huzoor Ki Hai

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska
Nagar-Nagar Hai Gali-Gali Hai

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska Lyrics In Hindi

जब मौज पे आयीं वो लहरें
क़तरे को समन्दर कर डाला

ये उनकी शाने करीमी है
जिसे खाली देखा भर डाला

करम के बादल बरस रहे हैं
दिलों की खेती हरी भरी है

ये कौन आया कि ज़िक्र जिसका
नगर-नगर है, गली-गली है

ये कौन बनकर क़रार आया
ये कौन जाने बहार आया

गुलों के चेहरे हैं निखरे-निखरे
कली-कली में शगुफ़्तगी है

ये कौन आया कि ज़िक्र जिसका
नगर-नगर है, गली-गली है

दिये दिलों के जलाये रखना
नबी की महफ़िल सजाये रखना

जो राहत-ए-दिल सुकूने जां है
वो ज़िक्र ज़िक्र-ए-मुह़म्मदी है

मेरे नबी की है शान बाला
बड़ा सख़ी है मदीने वाला

हमें तो जो कुछ भी मिल रहा है
ये मेहरबानी हुज़ूर की है

ये कौन आया कि ज़िक्र जिसका
नगर-नगर है, गली-गली है

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska Lyrics In Urdu

جب موج پہ آئیں وہ لہریں
قطرے کو سمندر کر ڈالا

یہ ان کی شانِ کریمی ہے
جسے خالی دیکھا بھر ڈالا

کرم کے بادل برس رہے ہیں
دلوں کی کھیتی ہری بھری ہے

یہ کون آیا کہ ذکر جس کا
نگر نگر ہے، گلی گلی ہے

یہ کون بن کر قرار آیا
یہ کون جانِ بہار آیا

گلوں کے چہرے ہیں نکھرے نکھرے
کلی کلی میں شگفتگی ہے

یہ کون آیا کہ ذکر جس کا
نگر نگر ہے، گلی گلی ہے

دیے دلوں کے جلائے رکھنا
نبی کی محفل سجائے رکھنا

جو راحتِ دل سکونِ جاں ہے
وہ ذکر ذکرِ محمدی ہے

میرے نبی کی ہے شان بالا
بڑا سخی ہے مدینے والا

ہمیں تو جو کچھ بھی مل رہا ہے
یہ مہربانی حضور کی ہے

یہ کون آیا کہ ذکر جس کا
نگر نگر ہے، گلی گلی ہے

Leave a Comment