haqiqat ka agar afsaana ban jaaye Lyrics
haqiqat ka agar afsaana ban jaaye to kya kije
gale milke bhi wo begaana ban jaye to kya kije
hamein sau baar tarq e maikashi manzoor hai lekin
nazar uski agar maikhaana ban jaye to kya kije
nazar aata hai sajde main jo aksar sheikh sahib ko
wo jalwa jalwa e jaanaana ban jaaye to kya kije
bada dukh shamma ko hai ek parwane ke jalne se
jo saari bazm hi parwana ban jaaye to kya kije
tere milne se jo mujhko hamesha mana karta hai
agar wo bhi tera deewana ban jaaye to kya kije
khuda ka ghar samajh rakha hai hamne jis dil ko
‘Qateel’ iss mein bhi ik butkhaana ban jaaye to kya kije